Beharhaal Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Mukhatalif Muqamat Par RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba Ka Hume Hukm Diya,.. Youn Tou Aayate Kayi Hai, Chand Misaaley Sirf Quraan Ke Rakhtey Hue Baat Ko Wajeh Karne Ki Koshish Hum Karte Hai.
Allah Raabul Izzat Surah Huzrat Ki Ayat Number 1 Aur 2 Me Farmata Hai Ke:
“Aye Wo Logon Jo Imaan Laye Ho! Apne Kadam Na Badhao Allah Ke Rasool (ﷺ) Se Aagey Aur Allah Se Darte Raho ..“
Surah Huzrat 49:1,2
Tou Iss Ayat me Allah Rabbul Izzat Ne Hukm Diya Ke Allah Aur Uske Rasool Ke Hukm Se Aagey Nahi Jana Hai.
Iski Aagey Ki Ayat (2) Me Allah Ne Farmaya:
“Wo Log Jo Allah Ke Rasool (ﷺ) Ke Moujudgi Me Apni Awazo Ko Buland Karte Hai Unhey Khouf Aur Darrna Chahiye Ke Kahi Allah Unkey Tamam Aamal Ko Barbad Na Kardey.”
*Iss Ayat ke Taaluk se riwayato me aata Hai Ke:
Ek Sahaabi They! Wo Rasool’Allah (ﷺ) Ko 2 Din Dikhayi Na Diye,
RasoolAllah ﷺ Ne Kaha – ‘Ke Uski Khabar Laao! Wo Kaha Hai?’
Ek Shakhs Nikley Aur Unke Ghar Gaye Aur Pucha Ke – ‘Wo Kaha Hai ?.’
Tou Unki Biwi ne kaha ke “Wo 2 Din Se Ghodo Ke Astabal Me Rotey Hue Baithey Hai! Aap Jakar Samjhaiye Unhe”
Jab Unke Paas Pohchey Aur Pucha Ke – ‘Tumahara Kya Mu’amla Hai ? Kyu Ro Rahe Ho ?’
Tou Unohne Kaha Ke – ‘Rabbul Izzat Ne Quraan Ki Aayat Nazil Kar Di Ke “Jo Log Rasool’Allah Ki Moujudgi Me Apni Aawazo Ko Buland Karte Hai, Unhe Darna Chahiye Ke Kahi Unke Amaal Gaarat Na Ho Jaye!” [Surah Huzraat: 49:1-2]
Aur Meri Aawaz Tou Bohot Unchi Hua Karti Thi, Aur Maine Tou Rasool’Allah Se Aisi Tez Awaaz Me Kayi Baar Baat Ki. Lihaja Mere Amal Tou Gaarat Ho Gaye! Ab Tum Chaley Jao! Mai Tou Halaaq Aur Barbaad Ho Gaya, Mujhe Chorr Do Isi Haal Me!
*Yeh Darr Rakhte They Sahaba –
“Ke RasoolAllah ﷺ Ki Moujudgi Me Awaaz Bhi Buland Ho Jaye Tou Wo Yeh Tasawwur Karte Ke Amaal Gaarat Ho Gaye.”
Haala Ki Yeh Aayat Baad Me Nazil Hui, Lekin Uskey Baad Kabhi Unhone Tez Awaaz Me Baat Na Ki.
Yeh Hai Rasool’Allah (ﷺ) Ka Adab!
– Ke Aapki Aawaz Se Unchi Awaz Nahi Karna Hai,
– Aapke Kadam Se Kadam Aagey Na Badhana Hai,
Lekin Humara Mu’mla Tou Yeh Hai Ke –
– Zindagi Ke Tamam Shobey, Kadam Aur Aawaz Tou Door,
– Har Mua’mle Me Barkhilaf Jaa Kar Usko Apna Aizaaz, Apna Shi’ar, Aur Apna Alam Samjhtey Hai Ke Haa! Yeh Sunnat Ke Khilaaf Amal Karke Hum Sahi Musalman Ho Gaye.
Zindagi Ke Kayi Shobey, Subha Se Lekar Shaam Tak, Shaadi Se Lekar Mout Tak Sab Me Khilafwarji Aur Fir Hum Musalman Ke Musalman Rahey.. Subhaan Allah.
*Lihaja Hume Chahiye Ke Zindagi Ke Tamaam Shobo Me RasoolAllah (ﷺ) Ko Apna Usma-Tul-Hasna (Ideal Aur Role Model) Maaney Aur Aap (ﷺ) Ki Sunnato Par Amal Ko Lazim Aur Farz Jaaney.
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
– Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey …
To be Continued …