Contents
Kya Shab e Barat Manana Quran wa Sunnat se Sabit hai?
Shab e Barat ki Haqeeqat
Shaban Maheene me 15th Shab ko “Shab e Barat” ke naam se yaad kiya jata hai. kuch log is Raat ke liye Shab-e-Qadr jaisi fazilate bayan karte hain. yeh Aqeeda rakha jata hai ke is Raat poore Saal me hone wale Waqkhyat ka faisla kiya jata hai.
is raat infiradi wa ijtimayee ibadato ka Ahtmam kiya jata hai. Aatish baziya ki jati hain, Masjido me chiragha kiya jata hai, Bewa Aurte ye samajhti hain ke unke Shoharo ki roohe is raat aati hain isliye behtreen qism ke pakwan tayyar karke unka intezar karti hain ..!!
Shab-e-Barat ki Fazilat me Quran ki yeh ayat paish ki jati hai –
“Humne is (Quran) ko Mubarak Raat me Nazil farmaya , hum logo ko darane wale hain.”
📕 Al-Dukhhan Aayat no.3
Jabki in ka yeh qoul sarasar ghalat wa bebuniyad hai jiski daleel yeh hai ke Allah Rabbul Izzat ne is ayat me jis raat ko mubarak raat kaha hai woh Ramadan ki Shab-e-Qadr hai na ke Shab-e-Barat. kyonki yeh baat har Musalman janta hai ke Quran-e-Kareem ka Nuzul Ramadan me hua hai na ke Shahban ke mahine me.
Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me Irshad farmata hai :
“Ramadan tou woh Mahina hai jisme Quran Nazil kiya gaya”
📕 Al-Quran, Surah Al-Baqra 2:185
Doosri jagah Allah Rabbul Izzat irshad farmata hai –
“Humne is (Quran) ko Shab-e-Qadr me nazil farmaya tumhe kya malum ke Shab-e-Qadr kya hai, Shab-e-Qadr me ek Raat ki ibadat Hazar mahino ki ibadat se behtar hai.”
📕 Al Quran, Surah Al-Qadr 97:1-3
in ayaat se maloom hua ke Surah Dukkhan ki ayat no. 3 me jis Mubarak Raat ki taraf ishara kiya gaya hai usse murad Shab-e-Qadr hai na ke Shab-e-Barat.
Shaban ki 15wi Raat ki fazilat me jo bhi hadeese bayan ki jati hain sab ki sab mozoo ya zaeef hain. isi tarhan is raat ki ibadato ke Silsile me jo bhi hadees bayan ki jati hain woh sari mozoo (unauthentic) hain..!!
Ek Hadees hai jo 15wi Shab ke liye bayan ki jati hai:
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke
“Allah Ta’ala 15wi Shahban ki Raat ko matlah ho kar Mushriq wa Qeena parwar ke siwa poori makhlooq ko Muaf kar deta hai.”
📕 Ibn Majah; silsila saheeh 1652
lekin is hadees me is raat ke liye makhsoos ibadat karne ki na koi daleel hai aur na hi kisi ibadat ka hukum diya gaya hai aur jahan tak logo ki Maghfirat ki baat hai tu yeh sirf isi raat ke sath khas nahin hai balke yeh tou har din hota hai.
Jaisa ke Sahih Hadees se sabit hai ke
“Allah Subhanhu Ta’ala har din aakhri Raat ke pehar me sama dunia per aata hai aur yeh ailan karta hai ke ‘koun hai jo mujhe pukare phir me uski dua ko qabool karu, kaun hai jo mujhse sawal kare aur me usey doo, kaun hai jo mujh se maghfirat talab kare aur phir me uski maghfirat kardoon.”
📕 Sahih Bukhari 6321
isse maloom hua ke Gunaho ki Maghfirat ka kaam humesha hota rehta hai yeh sirf Shab-e-barat ke sath khas nahin…!!
Haqeeqat yeh hai ke Shab-e-Barat ka islam se koi talluq nahin hai isey ijad karne wale raafdi hain.
Ab koi yeh kahe ke hum is Raat ibadat hi tou karte hain tou isme burayee kya hai ?.
– tou yaad rakhe burayee ibadat me hargiz nahin hai, buraye hai iss baat me ke jo baat Allah ke Rasool (ﷺ) ne nahi batayee woh hum kaise kar sakte hain ?
Ek insan agar asr ke 4 farzo ki jagah 5 parhne lage tou kya woh Sahih hoga?
– hargiz nahin jabke woh ek rakat Namaz hi zyada parh raha hai per RasoolAllah (ﷺ) ne 4 bataye hain tou hum usse zyada ya kum nahin kar sakte. isi tarhan ibadat Allah Ta’ala ke yahan woh Qabool hogi jiske karne ka hukum RasoolAllah (ﷺ) ne diya hai. aur Shab-e-Barat ki ibadat kisi bhi Sahih Aahdees se sabit nahin.
– zara sochiye ke agar yeh itni Fazilat wali raat hoti tou kya Sahaba Ikram iss raat ko ibadat na karte? koi ek bhi wakiya Sahaba-e-Karam se sabit nahin ke unn logo ne iss raat ko khas ibadat ki ho. jo khas ibadat ki raat hai woh tou Ramadan ki Shab-e-Qadr hai usme jitni chahe ibadat karein…!!
Ek baat yaad rakhein ke allah ta’ala uss ibadat ko qabool karta hai jisme Niyat khalis Allah ki Raza ki ho aur tareeqa khalis RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ka ho ..!!
Alhamdulillah! humara deen kamil hai RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) apni ummat ko deen ke Muamle har tarha ki tarbiyat kar gaye hain, gar humne itna kar liya jitna hamein bataya gaya hai tou in’sha’allah humara Rab hamse razi ho jayga..!!
Kisi bhi Bidat ko chhota na samjho:
RasoolAllah (ﷺ) ne Biddat karne wale ko kaha hai ke woh hum me se nahin ..!!
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Jisne humare deen me koi nayee cheez ijad ki jiska deen se koi taulluq nahin hai tou woh mardood hai “
📕 Sahih Al Bukhari 2697
Ek aur riwayat me aata hai ke –
“Deen ke andar nayee nayee cheeze dakhil karne se baaz raho! bila-shubha “kullu bida-tan zalalah, wa kulo zalala-tin fin nar” (Deen me) har nayee cheez bidat hai aur har bidat gumrahi hai aur har gumrahi jahannam me le jane wali hai.”
📕 Abu Dawood; Kitab al Sunnah 7064
RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya :
“Jisne humare is deen me apni taraf se koi nayi cheez paida ki, jo is me se nahi hai toh wo mardood hai (yani wo deen se kharij hai), har nayi cheez (jo deen me paida ho) biddat hai aur har biddat gumrahi hai aur har gumrahi, jahannam me lee jaati hai.”
📕 Sahih Al Bukhatri, Hadees 2696
📕 Sahih Al Muslim, Hadis 1718
📕 Sunan Nasai 3/188
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Sabse Behtar amr (Amal ke liye) Allah ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihay Wasallam ka tareeqa hai aur sabse badtareen kaam deen me nayee nayee baton ka paida karna hai aur har nayee baat gumrahi hai.”
📕 Sunan Ibn Majah, vol 1 , Hadees 45
(Jo log biddat ko taqseem karke Gumrahi pehla rahe hai jaise Bidat-e-Sayya, Biddat-e-Hasna un Hajrat ke liye ye hadees se behtareen aur koyi islaah nahi)
Abdullah ibn Umar (Raziallahu Anhu) farmate hain,
“Tamam Biddatein Gumrahi hai Agarche “Ba-zaahir woh logon ko acchi lagein.”
📕 Sunan Kubra Baihaqi; Hadith138
Allah Rabbul Izzat tamaam Musalmano ko Haq baat Qabool karne ki toufeeq ata farmaye aur Biddat aur Khurafaat se mehfooz rakhein. Aameen-Rabbul-Aalamin !!!
Aur bhi Dekhe:
- Maah-e-Shabaan ke Rozey
- Shabe Barat me padhi jane wali Namaz ki Hakikat
- Shab e Barat ki Ibadat : Qurano Sunnat ki Roshmi me
- Mah-e-Shaban ki Fazilat, Hamare Amal aur Shabe Barat ki hakikat
- क्या सहीह हदीसों में शबे बराअत का ज़िक्र आया है?
Mashallah this is use full