♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Farmate Hain Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Mushrikeen Ke Liye Bad-Dua Karne Ki Darkhuwast Ki Gayi,..
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaya –
“Mujhe Lanat Karne Wala Banakar Nahin Bheja Gaya, Mujhe Rehmat Banakar Bheja Gaya Hai”.
– (Sahih Muslim : 6613)
Related Posts:
Khane Ke Faraiz : Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao… ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao, Ki Barqat Jamaat Ke Saath Hai, Aur Khadey Hokar Na Khaao Aur Na Piyo.." - (Ibne Maajah, Jild-4, Safa-21, Hadees-3287) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Koi Khaana Khaye Tou Wo Uss Waqt Tak Haath Na Dhoye Jab Tak Wo Ungliyon Ko Chaat Na Le.." - (Bukhari Sharif) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Khana Kha Ke Shukar Ada Karne Wale Ka Darja, Sabr Karne Wale Rozedar Ke Barabar Hota Hai.." - (Tirmizi, Hadees-2021)
Apni Aulaad Ka Naam Behtar Rakha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Beshaq! Tum Roze Qayamat Apne Naamo Aur Apne Baapo Ke Naamo Se Pukare Jaoge Tou Apne(Baccho Ke) Naam Ache Rakha Karo.." - (Imaam Ahmed, Abu Dawood, Jild 3, Bab 485, Hadees 1513, Safa 550) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Aadat-e-Kareema Thi Ki, Aap Burey Naam Badal Diya Karte They. - (Tirmizi, Jild, Safa 301, Abu Dawood, Jild 3, Hadees 1517, Safa 551) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibne Umar (Razi'Allaho Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Allah Ta'ala Ko Tamaam Naamo Me Se…
Allah Ki Lanat Bad-Nigahi Karnewale Par ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Allah Ki Lanat Bad-Nigahi Karnewale Par Aur Jiski Taraf Bad-Nigahi Ki Jaye,. - (Bayhaqi Sharif, Mishkat Sharif, Jild : 2, Safa : 77) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Jo Kisi Aurat Ki Khubiya Dekh Kar Nigaah Jhuka De Allah Ta'ala Usko Aesi Ibadat Ki Taufiq Bakhshega, Jiski Lizzat Wo Apne Dil Me Mehsoos Karega. - (Al Masanduli Imaam Ahmad Bin Hambal Jild:8 Safa:299 Hadees:22341)
Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai .... ♥ Al-Quraan: Allah Ta'ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. - [Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11] ♥ Isi Tarha Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - » Hadees: "Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai". - (Miskat P:24) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai". - (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224) ♥ Mafhoom-e-Hadees: “Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai”. - (K.Ummal) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Raat Me…
Allah Ka Bando Par Kya Haq Hai ? » Jawaab: Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - ★ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi Ki Ibadat Karey, Aur Kisiko Uska Shareek Na Thehraye.. Aur Bando Ka Haq Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Karey Usey Azaab Na Dey. - (Bukhari:2856, Muslim:30) ♥ Al-Quraan: "Jo Log Emaan Laaye Aur Apne Emaan Ko Zulm Se Mahfooj Kiya Unke Liye Aman Hai Aur Wahi Hidayat Paney Wale Log Hain..” – (Surah 6 Al-An’am, Aayat-82)
Allah Ki Neymat Ka Tark Karna Kufr Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Koi Banda Allah Ta'ala Ke Diye Huve Neymat Par Alahmdulillah Kehta Hai Tou Allah Ta'ala Uss Se Afzal Neymat Ata Farmata Hai". - (Ibne Maaja Hadith no.3805) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Tumney Alhamdulillah Kaha Tou Rab Ka Shukr Ada Huwa Aur Tumhari Neymat Me Ezaafa". - (Jameul Bayan 1/90) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Jis Ne Khaleel Chiz Ka Shukr Ada Nahi Kiya Usney Kaseer Chiz Ka Bhi Shukr Ada Na Kiya Aur Allah Ki Neymat Ka…
Qabro Ki Ziyarat Mardo Par Halaal Aurto Par Haraam .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Tum Qabro Ki Ziyarat Kiya Karo Kyunki Wo Tumhey Mout Ki Yaad Dilati Hain" - (Sahih Muslim, Vol2, 2259) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Buraida (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Mainey Tumhey Mana Kiya Tha Qabro Ki Ziyarat Karney Se Lekin Ab Tum Ziyarat Karo Unki". - (Sahih Muslim, Vol5, 5114) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Qabro Ki Ziyarat Karo Kyunki Ye Tumhey Aakhirat Ki Yaad…
Gaali Galoch aur Baddkalami Karne wala Allah ke Nazdeek… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki - "Do Shakhs Jab Gaali-Galoch Kare Tou Dono Ka Gunaah Usi Par Hoga Jo Ibtida (Shuruaat) Karega, Jab Tak Mazloom(Zulm Sehne Wala) Jiyadati Na Kare" - (Sahih Muslim) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Musalman Ko Gaali Dena Fisq (Belong to Fasiq) Hai aur Qatl Karna Kufr Hai". - (Sahih Bukhari) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momeneen Aayesha (Razi'Allaho Anha) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Mardo Me Sabse Bura…
Allah Ke Alawa Kisi aur Ki Qasam Na Khaao ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai – "Jisne Allah Ke Alawa Kisi Ki Qasam Khai Usney Kufr Kiya Ya Shirk Kiya..." - [Ahmad Hadees (2/34), Sahi Tirmizi Hadees (2/99)] Ek Aur Riwayat me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai – ♥ Mafhoom-e-Hadees: Apne Maa-Baap Aur Butho Ki Qasam Naa Khaao Aur Naa Hi Allah Ke Alawa Kisi Aur Ki Qasam Khaao (Agar Qasam Khaney Ki Zaroorat Pad Jaaye) Tou Sirf Allah Ki Sacchhi Qasam Khaao”. – (Nasai Sharif: 3769) ♥ In'sha'Allah-Ul-Azeez !!! Allah rabbul Izzat Hume Kehne Sun'ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey,...
Allah Uske Chehre Ko Roshan Kare Jo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Farmane Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ke - "Allah Ta’ala Usko Taro Taaza Rakhe Jo Meri Hadees Ko Sune, Yaad Rakhe(Amal Kare) Aur (Usey) Dusro Tak Pahuchaye.." - (Tirmizi Sharif, Jild 4, Page No.298, Hadith no.366) Ek Aur Riwayat Me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Allah Uske Chehre Ko Roshan Kare Jo Hadees Sunkar Aage Pahunchaye.." - (Ibne Maja) *Note: Bashartey Ke Aahadees Sahi Daleel Se Sabit ho aur Manghadat Wa mouju Riwayte na ho ,.. ♥ In'sha'Allah-Ul-Azeez!!! Allah Taala Hume Kehne Sun'ne Se Jyada Amal ki Taufiq Dey ,.
Khwab Ka Bayan Hadees Ki Roshni Me .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas (RaziAllahu Anhu) Ne Kaha Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Achha Khwab Nabuwat Ke 46 Hisson Me Se Ek Hissa Hai". - [Sahih Bukhari Volume 009, Book 087, Hadith no. 118] ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Jab Tum Me Se Koi Aisa Khwab Dekhe Jise Wo Pasand Karta Ho Tou Wo Allah Subhanahu Ta'ala Ki Taraf Se Hota Hai - Iss Par Allah Ki Hamd (Shukr Ada) Karey Aur Dusron Ko Bata De - Lekin Agar Koi Aisa Khawab Dekhta Hai Jo Usey Napasand Ho Tou Ye Shaitan Ki Taraf Se…
Nazar Ki Pairwi Na Karo ..... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Jarir (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Mainey Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pucha Ki: (Ghair Mahram Par) Achanak Girney Wali Nazar Ka Kya Hukm Hai? Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki, "Tu Apni Nazar Pher Le". - (Sunan Abu Dawud, Vol 2, 381-Sahih) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Buraydah Ibn Al-Hasib (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu) Se Farmaya - "Nazar Ki Pairwi Na Karo, (Gair Mahram Ki Taraf) Pahli Nazar Tou Muaf Hai Magar Dusri Nigaah Muaf Nahi". - (Sunan Abu Dawud, Vol 2, H-382) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate…
Ladki Ki Nikah Ke Liye Razamandi .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira Wa Abdullah Bin Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Kuwaari Ladki Ka Nikah Na Kiya Jaye Jab Tak Uski Razamandi Na Hasil Kar Li Jaye Aur Uska Chup Rehna Uski Razamandi Hai, - Aur Na Nikah Kara Jaye Bewah(Widow) Ka Jab Tak Usse Ijazat Na Li Jaye". - (Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 566) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Aayesha (RaziAllahu Anha) Ne Arz Kiya - "Ya RasoolAllah! Kuwari Ladki Tou Nikah Ki Ijazat Dene Me Sharmati Hai." Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Uska Khamosh Ho Jana…
Achhe Aur Burey Tajir Ka Hashr ..... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Sayeed (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Bahut Sacche Aur Dayanatdar Tajir(Businessman) Ka Hashr Nabiyo, Siddiqiyon Aur Shaheedon Ke Sath Hoga.." - (Tirmizi Jild_2 Page-229) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ek Aur Riwayat me Farmatey Hai - "Qayamat Ke Din Burey Tajiron Ka Hashr Nafarmano Ke Sath Hoga, Magar Jo Tajir Allah Ta'ala Se Dartey Hue Haraam Se Bachey, Jhooti Qasam Na Khaye Aur Sach Boley Tou Uska Hisab-o-Kitab Ambiyaon Ke Saath Hoga.." - (Tirmizi Jild-1 Page-230)
Allah Ne Darguzar Ki Meri Ummat Se Un Khayalon Par .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Allah Ne Dar-Guzar Ki Meri Ummat Se Un Khayalon Par Gunaah Ki, Jo Dil Me Aatey Hai Jab Tak UnKo Zubaan Se Na Nikale Ya In Par Amal Na Karey.." - (Sahih Muslim: Jild-1, Page-222' 223, Hadees no.331)