Islami naye saal ki dua
✦ Hazrat Abdullah Ibn Hisham (R.A) se riwayat hai,
Jab Naya Saal ya naya mahina shuru hota to RasoolAllah ﷺ ke Sahaba (R.A) ek dusre ko ye dua seekhate they:
اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالأَمْنِ ، وَالإِيمَانِ ، وَالسَّلامَةِ ، وَالإِسْلامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجَوَازٍ مِنَ الشَّيْطَانِ
✦ Allahumma Adkhilhu Alaina bil Amni wal iman, Was salamati wal islam,
Wa ridwanim minar Rahman, wa Jawazim minash shaitan ✦
✦ Ya Allah is (Naye saal ya naye mahine ko) ko hum par aman aur iman ke saath aur Salamati aur islam ke saath aur Rahman ki khushnudi ke saath aur shaitan se hifazat ke saath dakhil farma.
📕 Al Muajam Al Awsat At-Tabrani,6410 -Sahih
Related Posts: