Musibat me Khair ki Dua [Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon]

♥ Mafhoom-e-Hadees: Umme Salma bint Abu Umayya (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) ne farmaya,
“Agar koyi musalman jisko koyi museebat pahuche aur wo ye kahe jiska Allah subhanahu ne usko hukm farmaya:
“Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon,
Allahumma Ajurni fee Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha”

*Tarjuma: Beshak hum Allah ke hain aur Usee ki taraf laut kar jane wale hain ,
Aye Allah mujhe meri museebat par ajar de aur mujhe is se behtar naimat ata farma,.

tou Allah subhanahu usko behtar naimat ata farma dega.

*Umme Salma (Radi Allahu Anha) farmati hain ki jab (unke shohar) Abu Salma {RaziAllahu Anhu} ki wafat ho gayee tou maine (dil me) socha ki kaunsa Musalman Abu Salma {RaziAllahu Anhu} se behtar ho sakta hai ?
wo pahla gharana hai jisne RasoolAllah (SallAllahu Alaihi wasallam) ki taraf hijrat ki phir maine ye Dua padhi tou Allah subhanahu ne mujhe Rasool’Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) ki surat me us neymat ka badal ata farmaya
aur RasoolAllah (SallAllahu Alaihi wasallam) ne Hatib bin Abu batla (RaziAllahu Anhu) ko mere paas unke nikah ka paigam dekar bheja.”
– Sahih Muslim, Jild 2, Hadith No. 2126

♥ SubhanAllah !
Allah Rabbul Izzat hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal ki Taufik Dey ,. Ameen !!!


Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *