Maahe Shaban ki Barqat
Hadees: Usamah bin Zaid (R.A) riwayat hai ki,
unhone RasoolAllah (ﷺ) daryaft kiya ki –
“Ya RasoolAllah (ﷺ) main aapko Shaban ke mahine ke alawa kisi aur mahine mein is tarah se (pabandi ke saath) roze rakhte huye nahi dekhta, Aap (ﷺ) ne farmaya ye mahina (Shaban) wo mahina jiski barkat se log gafil hai , aur Rajab aur Ramzan ke mahine ke beech mein ye wo mahina hai jisme aamal Allah subhanahu ke paas uthaye jaate hain aur meri khwahish hai ki mera amal us waqt pesh ho jis waqt mere roza ho.”