Islamic Quiz 409 : Rasool-Allah ﷺ ne ek baar 300 mujahido ka lashkar Quraish ke karwan par nazar rakhne ke liye bheja tha, jo bhookh se itne behal ho gaye ke unhone Khabt (pattey) khana shuru kar diya. Uske baad ek khane ki cheez unko mili jisko sabne milkar 15 din tak khaya. Wo khane ki cheez kya thi?

islamic quiz 409 image

Islamic Quiz 409

Rasool-Allah ﷺ ne ek baar 300 mujahido ka lashkar Quraish ke karwan par nazar rakhne ke liye bheja tha, jo bhookh se itne behal ho gaye ke unhone Khabt (pattey) khana shuru kar diya. Uske baad ek khane ki cheez unko mili jisko sabne milkar 15 din tak khaya. Wo khane ki cheez kya thi?

A. Machli (Fish)

B. Oont (Camel)

C. Ghoda (Horse)

D. Deer (Hiran)

Islamic Quiz 409 : Rasool-Allah ﷺ ne ek baar 300 mujahido ka lashkar Quraish ke karwan par nazar rakhne ke liye bheja tha, jo bhookh se itne behal ho gaye ke unhone Khabt (pattey) khana shuru kar diya. Uske baad ek khane ki cheez unko mili jisko sabne milkar 15 din tak khaya. Wo khane ki cheez kya thi?

Sahih jawab hai : Option ( A )

✅ Machli (Fish)

Daleel :

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Jabir (RA) se rivayat hai: Rasool-Allah ﷺ ne 300 sawar rawana kiye, jin ke Ameer Abu Ubaidah (RA) they. Hum Quraish ke tijarati kafile ki harkat par nazar rakhne gaye. Khana khatam ho gaya to hum Khabt (pattey) khane lage, isi wajah se lashkar ka naam Jaish al-Khabt pada. Phir samundar ne ek badi machhli (An-Anbar) bahar pheki, jise humne aadhe mahine (15 din) tak khaya. Uski charbi ka tel jism par malte rahe. Abu Ubaidah (RA) ne uski ek pasli ki haddi uthai, aur ek sawar uske neeche se guzar gaya.

📖 Sahih Bukhari, Hadees 5494

WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Leave a Reply