Contents
Islamic Quiz 401
Rasool-Allah ﷺ ne kiske liye farmaya: “Main jannat mein unka ghar dekha, andar jana chaha magar unki gairat ka khayal aaya (isliye nahi gaya)” ?
A. Abu Bakr (RA)
B. Umar (RA)
C. Uthman (RA)
D. Ali (RA)
Islamic Quiz 401 : Rasool-Allah ﷺ ne kiske liye farmaya: “Main jannat mein unka ghar/mahal dekha, andar jana chaha magar unki gairat ka khayal aaya (isliye nahi gaya)” ?
Sahih jawab hai : Option ( B )
✅ Umar (RA)
Daleel :
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Jabir (RA) se rivayat: Nabi ﷺ ne farmaya: “Main jannat mein gaya aur ek ghar/mahal dekha. Maine pucha: Ye kiska hai? Farishton ne kaha: Umar bin Khattab (RA) ka. Main andar jana chaha lekin tumhari gairat yaad aayi.” Ye sunkar Umar (RA) ro diye aur arz ki: “Ya RasoolAllah ﷺ! Kya main aap par gairat karunga?” 📕 Sahih Muslim, Vol 6, Hadees 6198