Contents
Islamic Quiz 393
Allah subhanahu kaunsi raat aasman-e-duniya ki taraf nuzul farmata hai aur kehta hai: “Kaun hai jo mujhse Dua kare ki main uski Dua Qubul karu”?
A. Sirf Juma ki raat ko
B. Sirf Peer aur Jumairat ki raat ko
C. Sirf Shab-e-Qadr ko
D. Har raat
Islamic Quiz 393 : Allah subhanahu kaunsi raat aasman-e-duniya ki taraf nuzul farmata hai aur kehta hai: “Kaun hai jo mujhse Dua kare ki main uski Dua Qubul karu”?
Sahih jawab hai : Option ( D )
✅ Har raat
Daleel :
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: hamara RAB har raat Aasman-e-Duniya ki taraf nuzul farmata hai jab raat ka aakhri tihayee hissa baqi ho. Us waqt farmata hai: Kaun hai jo mujhse Dua kare ki main uski Dua Qubul karu, kaun hai jo mujhse mange ki main usey du, kaun hai jo mujhse bakhshish talab kare ki main uski bakshish karu.
📕 Sahih Bukhari, Vol 7, Hadith 6321