Contents
RasoolAllah ﷺ ne apni Ummat ke chand sahaba ki fazilat bayan ki. Aayiye jaante hain unme se kaun deen ke maamlaat mein sabse zyada sakht the.
Islamic Quiz 378
Rasool-Allah ﷺ ne kaunse sahabi ke liye ye farmaya ki wo meri ummat mein deen ke muaamlo mein sabse zyada sakht hain?
A. Khalid bin Walid (RA)
B. Muaaz bin Jabal (RA)
C. Ali (RA)
D. Umar (RA)
Islamic Quiz 378 : RasoolAllah ﷺ ne kaunse sahabi ke liye ye farmaya ki wo meri ummat mein deen ke muaamlo mein sabse zyada sakht hain?
Sahih jawab hai : Option ( D )
✅ Umar (RA)
Daleel :
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Hadith: Anas bin Malik (RA) se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya:
“Meri Ummat mein sabse raham-dil Abu Bakr (RA) hain aur unmein se Allah ke deen ke bare mein sabse zyada sakht Umar (RA) hain.”
📚 Sunan Ibn Majah, Hadith 154 – Sahih