Islamic Quiz 328 : Kaunse Nabi (A.S.) ne apni biwi ko 100 kodey maarne ki Qasam khayi thi?
Sahih jawab hai : Option ( C )
✅ Ayub (A.S)
Daleel :
Surah Saad (38:41-43) ke tafseer, Tafseer Qurtubi mein aata hai:
Jab Hazrat Ayub (A.S.) Allah Ta’ala ki shadid aazmaish mein mubtala they, jis mein unka maal, jaydad aur sehat sab kuch chala gaya, aur unhone sabr ki misaal qaim rakhi, toh shaitan ek roz insani shakl mein Ayub (A.S.) ki biwi ke paas aakar kehne laga ke main tumhare shohar ki bimari ka ilaj bata sakta hoon, agarche tum mujhe sajda kar lo. Ayub (A.S.) ki biwi ne kaha ke main apne shohar ki ijazat ke baghair yeh nahi kar sakti, lihaja is tarah unhone apne shohar se is baat ka zikr kiya.
Jab Ayub (A.S.) ne yeh suna, to gusse aur gazab me aa kar kaha ke tumne inkaar karne mein dair kyun ki? Allah ke siwa kisi ko sajda karna kisi bhi surat mein sahih nahi. Lihaja unhone qasam li ke jab wo sehatyaab honge, toh apni biwi ko 100 koḍey maarenge.
Allah Ta’ala ne Hazrat Ayub (A.S.) ke aazmaish ke baad unhe sab kuch wapas lauta diya. aur qasam puri karne ka hukm dete hue farmaya ki “Aap Apni Qasam Na Todhe aur Apni Biwi ko, Jo ki Neik Khaatoon hai aur Jinhone Aap ki Timaardari ki aur Aap ka saath na chhodha, tamaam dukh dard aur Takleef ke bawojood bhi aap se wafaa nibhayee, Isiliye Aap unhe (100) tinko ka Muthhthha (Guchcha) lekar maare aur apni Qasam poori kare.”
Ismein ek ibrat hai un logon ke liye jo duniyawi aazmaish mein Allah ke siwa kisi aur ko sajda karne lagte hain.
Allah hidayat de in hazraat ko. Ameen.