Islamic Quiz 325 : Kounsi 2 chamakti hui Surah jo Qayamat ke din padhne walo ke saath 2 Baadal ya 2 Saaye ki tarah honge?
Sahih jawab hai : Option ( A )
Contents
✅ Surah Baqarah, Surah Aale Imran
Daleel :
Hadees: Abu Umama Bahli (R.A) se riwayat hai,
RasoolAllah ﷺ ne farmaya:
“Quran padha karo kyunki ye Qayamat ke din apne padhne walo ke liye Sifarishi ban kar aayega aur 2 chamakti surtein padha karo ek surah baqara aur dusri Surah Aal-e-imran, kyunki wo Qayamat ke maidan mein is tarah aayengi jaise ki do badal hain, ya do saayeban ya do tukdiyan hai udte huye jaanwaro ki aur apne logo ki taraf se hujjat karti huyee aayengi.
(yaani uske padhne walo ke liye sifarish karengi) Surah baqara ko padha karo kyunki iska padhna barkat hai aur iska chorh dena hasrat hai aur jadugar log iska muqabla nahi kar sakte.”