♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Umamah (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“*Mai Uss Shakhs Ke Liye Jannat Ke Atraaf Me Ek Ghar(Dilaney) Ki Zimmedari Leta Hoon Jo Haq Per Hone Ke Ba-Wajood Bhi Jhagda Chhod De,
*Aur Uss Shakhs Ke Liye Jannat Ke Darmiyan (Beech Me) Ek Ghar (Dilaney) Ki Zimmedari Leta Hoon Jo Mazaq Me Bhi Jhooth Chhod De,
*Aur Uss Shakhs Ke Liye Jannat Ke Buland Tareen (Bahut Aala) Darje Me Ek Ghar (Dilaney) Ki Zimmedari Leta Hoon Jo Apne Akhlaq Achhe Bana Le”.
– (Abu Dawood)