♥ Mafhoom-e-Hadees: Riwayat Hai Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Farmate Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke –
“Gham Ke Kunwao (Well) Se Allah Ki Panaah Mango”,
Logo Ne Arz Kiya, “Ya Rasool’Allah! Gham Ka Kunwa Kya Hai ? ”
*Aapne Farmaya – “Dozaq Me Ek Jungle Hai Jis Se Khud Dozakh Rozana 400 Baar Panaah Mangti Hai”,
Arz Kiya, “Ya Rasool’Allah! Iss Me Koun Jayenga?”
*Aapne Farmaya – “Apne Aamaal Me Dikhlawa Karne Wale Qaari”.
Iseh Tirmizi Ne Riwayat Kiya Yu Hi, Ibn-e-Maja Ne Iss Me Ye Zyadah Hai Ke
Allah Ko Bahut Na’pasand Wo Qaari Hai Jo Ameerao Ki Mulakaate Karte Hai.
Muharbi Ne Farmaya Yaani Zaalim Ameerao Ki.
– (Miratul Manajih Jild 1, Safa 220, Baab Ilm Ki Kitab)