Allah Ka Qalaam Quraan-e-Majid ko thaam kar log kis tarha se Hidayat Yafta hue aayiye chand wakiyat ke jarye gour karte hai.
✦ Waqia 1 : Tufail bin Umro (R.A.) ka Iman lana
Aap Yaman Ke “Kabila-e-Dous” ke Sardar they, aur bohot badey Shayar they, ek martba Makka tijarat(Business) ke silsiley aana hua, jaise hi Makka pohochey , logon ne kaha ke humare shahar me ek bohot bada fitna macha hai (Nauzubillah) ,.. Ek shakhs hai Jiska naam Mohammad-bin-Abdullah hai. (Sallallahu Alaihay Wasallam),. Jab bhi Unhey dekhna kaano me Ungliya daalna aur bhaag jana, Unki baat na sun’na ! unki baat sunoge tou tum Gumraah ho jaogey.
Tufail bin Umro (R.A) kehtey hai ke “Mai Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko jab bhi dekhta door bhag jata, agar bazar me wo ek taraf se aatey tou mai dusri taraf se nikal jata.
Aur kabhi aisa hota ke qareeb aajatey tou maine ruyi apne paas rakhi thi, wo apne kaano me daalta, ke kahi ye Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) koi baat na keh dey aur mai Gumraah na ho jau.
• Wo Kehtey hai ke Aisa mai bohot dino tak karta raha, Uske baad ek martba unhone socha ke “Mai ek Shayar hu, Mai logon ke Qalaam jaanta hu. Mai Qaahino ke Qalaam jaanta hu, Mai Majnoon ke Qalaam bhi Jaanta hu, Mai Jadugaro ke bhi Qalaam ko Jaanta hu, Fir Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas aisa kya hoga jo mai sun kar Gumraah ho jaunga. “
• Ye Soch kar thodisi Aqal ne Unka sath diya Qoum ke behkaawe se nikal kar Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas pohochey aur kaha ke – “Aye Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Logon Ne Aapke Baarey me Mujhe Aisa Aisa aur Aisa bataya hai, aur Mai ab tak Aapsey bhagta raha, lekin aisa kya Qalaam hai aapke paas jisko sunakar aap logon ko behkaate ho ? Jara Mujhe bhi Sunao…”
• Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne kaha ke “Kya tum Apna Qalaam pehle sunaoge ya Mujhse kuch sunoge ?”… tou kaha ke “Mai kuch sunaana chahta hu”
• Unhone khub Shayari ki,. Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) suntey rahe aur uskey baad kaha ke “Kya Mai Apna Qalaam sunau?” … Tou kaha ke “Ha ab Aap apna Qalaam pesh Kare..”
• Fir Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne “Surah Ikhlas , Surah Falaq aur Surah Naas” Sirf ye 3 Chotey Chotey Surah Tilawat Kiye. ye tino surah suntey hi Tufail bin Umro pareshan ho gaye. hosh udd gaye inke Ke “Ye Kya Qalaam Hai ? ” … Mai Khud Shayar Hu !.. Mai Janta hu ke koi Insan aisa Qalaam nahi likh sakta,. Itne Kum Lafzo me itni gehrayi, itna mana khaiz, Is tarha ka Qalaam koi insan nahi likh sakta.
• Wo Kehtey hai ke “Mai Usi Roz Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihay Wasallam) par Imaan la liya.. “
Ref – “Companions of The Prophet”, Vol. 1, By: Abdul Wahid Hamid.”
• Is Wakiye me Gour karne waali baat hai ke “Gumraah nahi hue wo Quraan sun kar !… Zindagi barbad nahi hui unki. kisi Gumraah firqe me shumar nahi hue,. balki haq ki taraf aa gaye fouran suntey hi… “
To be Continue …