Contents
♥ Mafhoom-e-Hadees: Shahr bin Hawshab (R.A.) se riwayat hai ki maine Umm Salma (R.A.) se pucha ki “Aye Ummul Momeenin! RasoolAllah (ﷺ) aapke pass jab rahte to aksar kaunsi Dua kiya karte they ?
Unhone jawab diya –
“Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak”
(Aye Dilo ko pherne wale(Allah) mere Dil ko tere deen par qayam rakh)
Phir farmane lagi ki maine Rasool’Allah (ﷺ) se arz kiya ki aap aksar yahi dua kyu kiya karte hain ? ,.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Aye Umm Salma (RaziAllahu Anha) ! koi Shakhs aisa nahi ki uska Dil Allah ki do ungliyo ke beech mein na ho, Wo jisko chahta hai (haq par) Qayam rakhta aur jisko chahta hai teda kar deta hai. (isliye humko ye dua maangte rehna chahiye)
– Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1446
For more Islamic messages kindly download our Mobile App
[post-content id=”46102″]
Related Posts: