Allah se kuch bhi Chupa nahi
Allah Ta’ala ka farman hai:
“Aur Aap ke Rabb se koi cheez zarrah barabar bhi ghaib nahi na Zameen mein aur na Aasman mein.”
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
“Jab darakhton, zarron, jaanwaron aur tamaam tarr-o-khushk cheezon ke haal se Allah waaqif hai to bhala yeh kaise mumkin hai ke un bandon ke aamaal se woh be-khabar ho jinhein Rabb ki ibadat karne ka hukm diya gaya hai.”
📕 Tafseer Ibn-e-Kaseer