Islam me April fool ki Haisiyat
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
April fool yaani logo ki nazar me jhuth bolkar bewakuf banane ka din, jo ki ek baddkhlakhi bhara Kabira Gunah hai aur jhuth ke kya-kya halaqate hai aayiye Iske talluk se chand Aahadees ka mutala karte hai. baraye meharbani karke isey jyada se jyada share karne me humari madad farmaye.
✦ Hadith: Halaqat hai us ke liye jo logo ko hasaney ke liye jhooth bole.
Muawiyah ibn Jaydah al-Qushayri (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Halaqat (barbadi) hai us shaksh ke liye jo logo ko hasane ke liye jhooti baat kare, iske liye kharabi hai , iskey liye kharabi hai.”
–Sunan Abu Dawud, Jild 3,1552 -Hasan
✦ Hadith: Momin Jhootha Nahi ho sakta
Safwaan bin Sulaim (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) se pucha gaya ki “Kya momeen buzdil ho sakta hai, tou Aap (ﷺ) ne farmaya Haan!, phir pucha gaya ki kya momeen Kanjus ho sakta hai Aap (ﷺ) ne farmaya Haan, phir Aap (ﷺ) se pucha gaya ‘kya Momeen JHOOTA ho sakta hai’ tou Aap (ﷺ) ne faramaya ‘Nahi.”
✦ Hadith: Jhooth ek Kabira Gunah hai
Abu Bakr (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Kya main tumhe sabse bada gunaah na batauu, humne arz kiya zarur bataeeye , Aap (ﷺ) ne farmaya ‘ALLAH ke saath Shirk aur Walidain ki Nafarmani karna, aur farmaya ki aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi, aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi (bade gunaah hain) Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) isey baar baar dohrate rahe yahan tak ki humne socha Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) khamosh nahi honge.
✦ Hadith: Jhooth bolne wala kazzab me shumar hoga
Abdullah ibn Masood (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya
“Jhooth se bachte raho kyunki jhooth burayee ki taraf le jata hai aur burayee jahannam ki taraf, agar koi aadmi jhooth bolta hai aur musalsal jhooth bolta rahta hai to ALLAH ke yahan usko kazzab (jhootha) likh diya jata hai.
Aur sach bolna tum par lazim hai kyunki sach neki ki taraf le jata hai aur neki jannat ki taraf le jati hai, agar koi aadmi sach bolta hai aur musalsal sach bolta rahta hai to ALLAH ke yahan usko siddiq ( sachcha) likh diya jata hai.”
–Sunan Abu Dawud, Jild 3,1551-Sahih
✦ Hadith: Jhooth se Bachne ka Inam
Abu Umama (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya
“Main us shakhs ke liye jannat ke beech mein ek ghar ki zamant deta hu jo Mazaq mein bhi Jhoot bolna chodh de.”
–Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1372-Hasan
Allah Ta’ala hume kehne sunne se jyadaa amal ki taufik ata farmaye,
– hume jhooth, fareb makr ke tamam fitno bachaye,
– Jab tak Hume Zinda rakhe Islam aur Iman zinda rakhey,
– Khatma Humara imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Ameen Allahumma Ameen ,..