Aksar Logon Me Is Mouju Ko Bhi Badi Tassub Ki Wajah Paya Jata Hai Ke –
“Janab Aap Tou Badi Deen Ki Baate Karte Ho Lekin Pant-Shirt Pehente Ho Jo Ki Sunnat Se Sabit Nahi ..”
– Tou Aayiye Dekhte Hai Ke Iski Hakikat Kya Hai ?
*Sabse Pehli Baat Ke – “Kurta Paijama Hi Islami Libas Hai Aisa Kisi Bhi Riwayat se Sabit nahi,..”
Kyunki Alahmdulillah! Shariyate Islamia Bohot Hiqmatna Shariyat Hai Jisme Kuch Cheeze Zameen, Zamaane, Halaat, Mahoul Aur Muahsre Ke Hisab Se Hume Karne Ki Ijajat Hai , aur jo Shariyat se na Takrati Ho, Aur kisi Aur Shariyat ki Mushabiyat na Karti Ho Aisey Amal ko Aam Zubaan me “Muba” Kehte Hai .. Usi Me Se Ek Cheez Hai “Libaas” ,..
*Alahmdulillah! Ye Is Deen Ki Khususiyat Hai Ke Isme Aisi Cheezo Me Hargiz Pabandiya Nahi Lagayi Jis Se Insan Ke Rehan-Sehan me Asani Ke Bajaye Mushkilaat Paida Ho ,…
– Andaza Lagaiye Agar Islam Me Koi Ek Makhsoos Libas Muslamano Ko Diya Hota Jaise Kashmir Ki Sard Wadiyo Me Bhi “Kurta Paijame” Wala Libas Aur Africa Ke 50 Degree Se Bhi Jyada Ke Garm Mahoul Me Wohi Kurta Paijame Wala Libas , Tou Kya Mumkin Hota Ke Ye Libas In Dono Suratehaal Me Humpar Zeba Deta ? ,..
*Dusri Sabse Aham Baat Ke – Rasool’Allah (Salallaho Alaihi Wasallam) Ka Libas Kya Tha ?
Kya Kabhi Muhaddsin ne Seerat Ki Kitabo Me Iska Makhsoos Tazkira Kiya Ke Aapka Libas Uss Zamane Ke Logon Se Hatkar Tha ? Bilkul Bhi Nahi ,..
*Inhi Baato Ke Tehat Alahmdulilliah! Shariyate Islamiya Ke Motbar Ulemao Ne Hume Libas Ke Usool Bataye ,..
Fir Jo Bhi Libas Uss Usool Me Baithey Wo Humare Liye Jayaz Hai..
– Misaal Ke Tour Par Koi Agar “Kurta Paijama” Bhi Pehne Aur Wo Takhne Se Niche Jaye Tou Ye Bhi Sunnat Ke Khilaf Hai. Tou Aayie Libas Ke Un Usoolo Par Gour Karte Hai ..
✦ Libas Ke Usool:
1. Libas Kafiro Ki Mushabiyat Na Karey.. Maslan Kuffaro Ke Deeni Libas Jaisa Na Ho ,..
2. Mard/Aurto Ki Mushabiyat Na Karta Ho. Yaani Mard Aisa Na Pahne Ke Aurto Jaisa Ho Aur Aurte Aisa Na Pahne Ke Mardo Jaisa Ho ,..
3. Aisa Patla Na Ho Ke Jiske Andar Ka Jism Nazar Aaye ,..
4. Itna Chust Na Ho Ke Jism Ke Aaza Usme Se Chalke ,.
5. Mard Hai Tou Uska Libas Takhne Se Uncha Ho ,.
6. Aur Aurto Ke Liye Tou Alahmdulillah ! Sir Se Lekar Paaw Tak Ke Hijab Ka Huqm Allah Rabbul Izzat Quraan Me Wajeh Kar Chukka Hai..
– Tou Ye Libas Ke Usool Hai,.. Aur Jo Bhi Is Usool Me Aatey Hai Wo Bilkul Jayaz Hai..
✦ Kya Kurta Paijama Sunnat Hai ?
Ab Kuch Log Kehte Hai Ke Kurta Paijama Hi Sunnat Se Kareeb Hai ,..
Yaad Rakhiye,.. Koi Cheez Sunnat Se Kareeb Aur Door Nahi Hoti,..
Jo Bhi Hoti Hai Wo Sunnat aur Gair Sunnat Hai ,..
– Jaise Maslan Agar Mai Namaz Me Hatho Ko Sir Ke Piche Bandkar Khada Rahu Tou Kya Chalega ?
Kyunki Ye Bhi Sunnat Ke Kareeb Hi Hai… Sirf 2 Fit Ka Masla Hai.. Jahir Si Baat Hai “Nahi Chalega” ,..
– Lihaja Kurta Paijama Yakini Sadgi Bhara Hota Hai , Isey Pehanaa Bhi Acchi Baat Hai..
– Lekin Ye Wo Cheez Nahi Jis’se Kisi Ke Imaan Ka Taqaza Napa Jaye ,..
– Lihaja Koi Musalman Pant-Shirt Bhi Pahne Jo Libas Ke Usoolo me Aatey Ho Wo Bilkul Durust Hai,..
✦ Libas Ka Mouju Tassub Ki Vajah na Banaye:
Ab Baaz Hazraat Kehte Hai Ke “Pant-Shirt Pehnte Ho Uske Dono Hath Uthao Tou Isaiyo Ka Saleeb Banta Hai,.” Subhan’Allah ,..
Mera Ye Sawal Hai “Kya Kurta Paijama Pehankar Aisa Saleeb Nahi Ban Sakta ?”
Ye Sab Mantaki Baat Hai ,.. Kha-Ma-Kha Isey Ikhtelaf aur Tassub ki Vajah Na Banaye ,..
– Lihaja Hume Chahiye Ke Deen Ka Sahi Ilm Hasil Kare ,. Kha-Ma-Kha Shariyate Islamiya Me Koi Apni Akal Na Ladaye.
– Kyunki Alahmdulillah Ye Is Deen Ki Khususiyat Hai Ke Ye Tamam Aalam Ke Liye Hai..
– Iske Qawanin Usi Rab Ke Nazil Karda Hai Jo Janta Hai Ke Uski Banayi Sirzameen Har Jagah Ek Jaisi Kashish Nahi Rakhti ,..
– Lihaja In Usoolo Ke Tehat Jo Bhi Libas Aap Pahn’na Chahte Ho Bilkul Pehan Sakte Ho ,..
*Bus Isey Ikhtelaf Aur Tassub Ki Vajah Na Banao..
– Islam Bohot Hikmatana Shariyat Hai,.. Bewajah Isme Apni Taraf Se Mushkilaat Paida Na Karey ..
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
– Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey..
– Hume Kitabo Sunnat Ka Muttabey Banaye ,..
– Tamam-tar Ikhtelafat Ki Vajuhat se Bachaye ,..
– Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
– Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!