Contents
Islamic Quiz 386
Sawal 1. Allah subhanahu ne rahmat ko kitne hisso mein taqseem kiya hai ? Sawal 2. Aur usmein se duniya mein us rahmat ke kitne hisse bheje gaye hain ?
A. 10
B. 99
C. 1
D. 100
Islamic Quiz 386 : Sawal 1. Allah subhanahu ne rahmat ko kitne hisso mein taqseem kiya hai ? Sawal 2. Aur usmein se duniya mein us rahmat ke kitne hisse bheje gaye hain ?
Sahih jawab hai : Option ( D,C )
✅ sawal 1.(100)
sawal 2.(1)
Daleel :
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Abu Hurairah (R.A) se rivayat: RasoolAllah ﷺ ne farmaya:
“Allah ne rahmat ko 100 hisso mein banaya. Usmein se 99 apne paas rakhe aur ek hissa makhluq ke liye bheja. Agar kafir ko Allah ke paas rahmat ka ilm hota to wo Jannat se na-umeed na hota. Aur agar momeen ko Allah ke paas azaab ka ilm hota to wo Dozakh se kabhi be-khauf na hota.”
📚 Sahih Bukhari, Vol 7, Hadith 6469