Islamic Quiz 231
In me se koun sa Janwar Qurbani ke liye Jaiz nahi?
Options Are 👇
A. Khassi
B. Doodh dene wala
C. Kamzor
D. Sahih Jawab Ka Intezar
Sahih jawab hai : Option ( C )
✅ Kamzor janwar
Kamzor janwar jismein gooda tak na ho aisa janwar Qurbani ke liye Jaiz nahi.
Daleel :
Hadees : Nabi (ﷺ) ka farmaan hai:
Chaar tarah ke janwar Qurbani mein jaaiz nahi:
Kaana jis ka kaanapan zahir ho, langda jis ka langdapan wazeh ho,
mareez jis ka marz wazeh ho aur itna kamzor janwar ke us mein gooda tak na ho.
* Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.
Is Hadees se maloom hota hai ke Qurbani ka janwar qawi aur sehatmand ho. Khassi, gaabhin aur doodh dene waale janwar ki Qurbani jaaiz hai.
Janwar khareedne ke baad us mein aib paida ho jaaye masalan taang ya seeng ya daant ya haddi toot jaaye, kaan kat jaaye, bemaar ho jaaye to us ki Qurbani ki jaa sakti hai.
kyunki yeh honi hai usey koi taal nahi sakta us haal mein aadmi ma’zoor hai lekin agar koyi dobarah khareedne ki taaqat rakhta ho aur Hadees mein mazkoor chaar aibon mein se koyi aib khareedne ke baad paida ho jaaye to dobarah khareed le.
Read More:
- Zil Hijjah ke Shuru ke 10 Dino ki fazilat
- Qurbani Ke Ahkaam O Masaail
- अशरा ज़ुल हज की फ़ज़ीलत क़ुरानो सुन्नत की रौशनी में
- Ashra Zul-hijjah Mein Kasrath Se Karne Waale Amaal
- Dhul Hijjah Ke Amaal-e-Swaaleh Allah Ko Pasand
- ♫ Qurbani Ke Kuch Aham Ahqam Aur Masail
- Qurbani – Ek Baap aur Betey Ki (Hazrate Ibrahim aur Ismayeel Alaihay Salam)
- Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe ?
Related Posts: