India ki pehli Masjid jo 629 isvi me Aap (ﷺ) ke zamane me Aapki wafat se 3 saal pehle tameer ki gai thi. Jiska Aap (ﷺ) ke chand ke do tukde karne ke waqiye se gehra talluq hai.
Kya tha woh waqia?
Hazarat Anis Bin Malik se riwayat hai k Hazoor (ﷺ) ko Mecca ke logon ne kaha ke agar aap Allah ke Nabi hai toh Aap koi mojza dikhaye tab Aap (ﷺ) ne dua mangi aur apni ongli se chand ki tarraf isharah kiya aur chand ke do tukde ho gaye. Iss tarah ke onke darmiyaan ‘Hira’ ka pahaad nazar aa raha thaa.
Hazarat Ibn Khasaar (R.A) apni kitaab mein likhte hai ke chand ke 2 tukde hone ka ye manzar hindustan tak dekha gaya.
London ki India Office ki liberary mein majood ek intihayi qadeem dastavez, jiska Arabi havala No. 1807, 152, 158 hai us ke mutabiq Hindustan mein junoob maghrib sahibay ilaka Malabaar mein ek qadeem badshah ”Cheraman Peruman” ne chand ke 2 tuke hone aur phir dono tukro ke pehle ki tarah ek hone ka manzar apni aankho se dekha.
Usne fauran apne darbar ke Qahin (jyotish, pandit or viddwan) logo ko bulaya magar koi bhi is ki wajah nahi bata saka.
Kuchh arse baad Arab ka ek qafila kerla tijarat ke liye aaya, jaha se arab ke karobari masale aur bahut si cheeze khareed kar le jate they.
Baadshah ka Islam lana
Inke zariye jab badshah ko khabar mili ke Mecca mein ek Allah ke Paigambar ne ye mojiza dikaya toh wo apni badshahat apne bete ke supurd kar ke isi tijarti qafle ke sath Mecca ko ravana hogaya. Uss ne wahan pohch kar Rasool Allah (ﷺ) ke haath pe islam qabool kiya aur kuchh arse baad Hazoor (ﷺ) ki hidayat par wo “Malik Bin Dinaar” aur kuchh sathiyon ke sath apne watan Hindustan ki tarraf ravana hua. Jis daraan raste hi mein ‘Yamman’ ke bandargah ‘Zafar’ ke nazdeek uss ka inteqal ho gaya. Inteqaal se pehle badshah ne apne dost Kodungallur ke raja ko khat likh kar “Malik Bin Dinaar” ki madad karne ke liye kaha.
Kodungallur ke raja ki madad se Malik Bin Dinaar ne Kerla ke Thrissur zile ke Kodongloor ilake me badshah Cheruman Peruman ke naam par hi “Cheraman Perumal Juma Masjid” ki tameer ki.
Is Masjid me Hazaro saal se ek diya hai jisme sabhi mazhab ke log tel dalte hain or sabhi ko is Masjid me aane ki ijazat hai. Is tarah Huzoor a paak (ﷺ) ki Hayat-a-Mubarak me Hindustan me pehli Masjid ki tameer ki gai.