Masjid-e-Quba: Islam ka elan hone ke 12 saal baad Masjid-e-Quba ki tameer ki gayi.
Nabi (ﷺ) ne Makka se hijrat kar ke Madina pahuchne to jaha Aap (ﷺ) ne qayam kiya waha nishani ke tour par Masjid banwaai gai. Isi raah me Madina Munawarra se taqreeban 5 kilometre ke fasle par 30 September 622 ko junoob ki taraf Masjide Quba ki tameer ki gai.
Is Masjid ko ye aijaz hasil hai ki iski sange buniyad Aap (ﷺ) ne rakhi uske baad Hazrat Abu Baqr (R.A) aur Hazrat Umar (R.A) ne ek- ek patthar rakha.
Nabi-e-Kareem (ﷺ) yahan 14 din thehre, Yahan sabse pehle Jume ki Namaz ada ki gayi Quba Masjid Madina nagar ke Quba naami Gaanv me tameer ki gayi.
Is waqt yahan 20,000 log namaz ada kar sakte hain. Quran ke surah Touba Ayat no.108 me Masjide Quba ka zikr hai.
Bukhari shareef me Quba Masjid se mutalliq 19 aur Muslim Shareef me 13 Hadees shamil hain.
20vi Shatabdi me Driehaus award jitne wale aur new classical architect Abdel-Wahed El-Wakil ko commission diya gaya tha to unhonhe ek badi masjid ko banane ke liye apne design me purane designs ko shamil kiya lekin purani masjid ko Shaheed kar diya aur uski jagah ek nayi masjid tameer ki gayi.
Quba Masjid ke haliya Construction ka kaam 1984 me hua tha, jis me 7 markazi darwaze, 4 minaar or 56 chhote Gumbad Shamil hain. Masjid ka aangan kaale, laal or safaid sangmarmar se bna hai. Masjid ke Minar or Mehraab sabhi safed sangmarmar se bane hain.