Aalim-e-Deen – Ummat Ke Rehnuma Ya Miskeen …

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Ek Roz Farmaya Ke –
Mere Jaanshino Par Allah Ki Rehmat Ho!”
*Arz Kiya Gaya: “Ya Rasool’Allah! Aapke Jaanashin Koun Hain?”
*Farmaya: “Jo Meri Sunnat Se Mohobbat Rakhte Hain Aur Usey Allah Ke Bando Ko Sikhate Hai.”
– (Tafsir-e-Kabir)

– Lekin Aaj Afsos Ki Baat Hai Ke Hum Unka Mazak Udatey Hai ,.. Aaj humne Unki Ma’ashi Halat ko Sanjidagi Se Nahi Liya ,..

*Yaad Rahe: Ye Badi Sanjidagi Bhara Masla Hai ,.. Afsos Ke Sath Kehna Pad Raha Hai Ke –
– Aaj Ummat Ka Ek Tabqa Jo Deeni Ilm Me Maharat Hasil Kar Raha Hai, Aalim , Mufti, Hafiz Aur Qari Hai Unki Halat Aisi Hai Ke Wo Sirf Mangne Aur Aapke Deney Par Nazre Unki Lagi Hui Hai (Illah Masha’Allah),..

– Aur Ek Tabqa Jo Business Kar Raha Hai , Kama Raha Hai Wo Dene Wala Tabqa Ban Gaya Hai ,.. Aur Deeni Ilm Hasil Karnewala Tabqa (Illah Masha’Allah) Sabke-Sab Lene Wala Ban Gaya ,.. Ye Halat Humne Kar Li Hai ,..

*Maksad Humara Kisi Ki Burayi Karna Nahi ,..
Bus Ummat Isey Sanjidagi Se Samjhye Yahi Humari Koshish Hai ,..

*Aaj Afsos Ki Baat Hai Ke Ummat Ki Rehnumayi Karnewale Is Tabqe Ko Humne Apna Mohtaj Bana Diya ,..
– Kabhi Koi Aalim Bike Bhi Chalaye Tou Log Taaney Marney Lag Jata Hai,..
– Aalim Sahab Ummat Ke Rehnuma Ho Aap.. Cycle Chalaiye ,.. Jara Sadgi Ikhtiyar Kijiye ,.

*Tou Goya Humne Limitations De Diya Unhe ,..
– Koney Me Le Jakar Rakh Diya Ke – “Aap Kama Nahi Saktey , Aap Ye Nahi Istmal Kar Sakte , Aap Wo Nahi Kar Saktey ,.. ”

*Masha’Allah Aalim Sahab!! Aapka Beta Hafiz Ban Raha Hai ,..
– Humara Chota Beta Abhi Tou Engineering Padh Raha Hai , 1 se 2 Lakh Ki Job Mil Jaye Bas Aap Dua Kijiye Uske Liye ,.. Bada Wala Beta Tou Doctor Hai,. 3-4 Lakh Tou Monthly Jama Kar Hi Raha ,..

*Ab Wo Hafiz Dil Me Pareshan Hokar Sochta Hai Ke Iske Ghar Ki Income Tou 5 Se 6 Lakh Yahi Nazar Aa Rahi Hai ,..
– Aur Mera Baccha Hafiz Ban Kar Kya Karega Maximum ? ..
– Ramzan Me Ek Baar Tarawih Padhayega,. Jis Se Usko Management Khush Hokar Ek Joda Dega ,.. Ek Haar Pehnayega 27 Ki Shab Ko ,. Aur Usko Chanda Jama Karke Jindagi Bhar Aur Pura Saal Bhar Ahsan Jataney Ke Liye 5-10 Hazar Diye Jayenge ,.. Subhan’Allah !!!

*Is Position Par Humne Ummat Ke Rehnumao Ko La Diya ,..
– Fir Saari Taqwe Aur Parezgari , Sadgi Bhari Jindagi Ki Ummide Usi Se Lagi Humari,..

# Tou Humne Ye Kiya Ke – Ek Tabqe Ko Duniya Ke Liye Educate Kiya Aur Dusre Tabqe Ko Deen Me Dala,.
– Deen Wale Sabke Hath Nichey Hai (Illah Masha’Allah) Aur Duniya Wale Sabke Hath Dene Wale Ban Gaye,..

*Ab Aise Rehnuma Mimber Par Khadey Hokar Khutba Detey Hai, Lekin Kabhi Bol Hi Nahi Patey Ke Sood Haraam Hai,. Illah Ke Sirf Sood Ki Hurmat Bayan Karke Khamosh Ho Jatey Hai ,..
– Lekin Tafseel Me Nahi Bata Paatey ,.. Kyunki Wo Jantey Hai Unki Tankhwa Jin Logo Se Chande Ki Shakl Me Aati Hai Unme Kayi Log Sood Ka Business Karte Hai ..
– Allah Reham Karey ,. Itna Mohtaj Kar Diya Humne Ummat Ke Rehnuma Ko – Ke Haq Baat Bolney Se Pahle So Baar Unhe Sochna Padta Hai ,..

*Jabki Hona Ye Chahiye Ke –
Ek Ghar Me Agar 3 Bhai Hai aur ek bhai Hafiz hai Tou 2 Bhai Mil Kar Tisre Keliye itna Dey ke Uski Income bhi Dono ke barabar ho Jaye,.. Ye Sadqaye jariya Bhi hoga Unn Bhaiyo ke Liye ,.. Mohalley Ke Log Milkar Aise Ulemao Ki M’aashi Halat Par Tawajjo Dey.. Fir In’sha’Allah-Ul-Azeez!!! ,. Unke Fatwo Me Wo Jaan Hogi Ke Log Apni Islah Karna Pasand Karenge ,..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey,…
# Hume Apne Ulmay-e-Haq Ki Izzat Aur Ikram Karne Ki Taufeeq Dey ,..
# Unke Ma’ashi Halat Par Hume Ikhlas Ke Sath Kharch Karne Ki Taufeeq Dey ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

0 thoughts on “Aalim-e-Deen – Ummat Ke Rehnuma Ya Miskeen …

  1. Molana Muaviyah says:

    woh ahadees jis mein ap sallallahu alaihi wasallam ne dua ki hai ke meri ummat ki shaklein tabdeel na hn?
    yeh is sawal ka jawab bhejein

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *