Islamic Quiz 192
Shab e Barat ki Namaz kitni rakat hoti hai?
Options Are 👇
A. 12 Rakaat
B. 20 Rakaat
C. 100 Rakaat
D. In me se koi Nahi
Sahih jawab hai : Option ( D )
✅ In me se koi Nahi
Daleel :
Shab-e-Barat ka Islam me koi Wajud nahi, iske naam se jitni bhi ibadate mashoor hai wo sab manghadat hai.
Yaad Rahe Shab e Barat me kisi bhi tarah ki koi bhi Nafeel ibadat , nafeel namazein sunnat se sabit nahi. Shab e Barat ke talluk jitni bhi riwayate aati hai wo sab mouju aur jayeef hai.
Darhakikat Shab-e-Barat ka Shariyate Islamiya me koi wajud nahi. iski shuruwat Batini Firqe se hai jo Ahle Tasheeyon me se hai.
Aapko bata de ke, Naa Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne aur naa hi kisi Shahabi ne is din koi makhsus ibadat ki aur na Ummat ko aisa karne ka koi hukm diya. yah ek Biddat hai jo baad ke logo ne shariyat-e-islamiya me ijad ki hai. aur yaad rahe har biddat gumrahi hai aur har gumrahi ka thikana jahannum ki aag hai.
lihaja hum tamam ko chahiye har muamle Qurano sunnat se rehnumayi haasil kare.
Allah Taala hume kehne sunne se jyada amal ki taufiq de.
Jabtak hume zinda rakhe islam aur iman par zinda rakhe,
khatma humara iman par,
Wa Akhiru dawana Alahmdulillahi Rabbul Aalameen!
Amen Allahumaa Ameen
Tafsseli jankari ke liye Padhey: