Takabbur aur Dikhawe Wale Aamal se Bacha karo

۞ Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) se marwi hain, Unohne Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Arz kiya “Mujhe Wasiyat Farmayiye”!

*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : Pakeeza Hunar Ikhtiyar kar, Nek Amal kar, Allah Ta’ala se Har Din ki Rozi Talab Karta Reh aur Apne Aapko Murdon me Shumaar kar! aur Har Insan ke liye Zaruri Hain ki Wo Apne Nek Aamaal par naa itrayen, Kyonki Yeh Aamaal ke Liye Ek Azeem Halaqat Hain!

Aisa Aadmi Amal Karke Allah Ta’ala Par Ehsan Dharta Hain, Halaanki Usey Yeh Ilm Nahi Hota Ki Uska Amal Maqbool Hua Ya Nahi!

Aise Gunaah Jinke Baad Nadamat Aur Sharmindagi Ho Uss Ibadat Se Acche Hain Jis Me Takabbur aur Dikhawa Shamil Ho!”

[ Mukashfatul Kulub, Page#173 ]

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
– Allah Ta’ala Hume Kahne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufiq de,
– Jab tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda Rakhye,
– Khatma Humara Imaan par ho,
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *