Masjid-Al-Haram Khana e Kaba ko Charo taraf se gherne waali ek masjid hai. Yah Saudi Arab ke Makka Shahar me hai aur dunia ki sabse badi masjid hai.
Duniabhar se Musalman Namaz padhte hue isi Kaabe ki aor Rukh kar ke Namaz padhte hai, aur Har Sahibe Istetat Musalman par Farz hai ke Zindagi me kum se kum Ek baar to yaha aakar Hajj ada kare aur Kaabe ka Tawaf kare.
Capacity
Masjid-Al-Haram ki Andar bahar Namaz padhne ki puri jagah ko dekha jaye to masjid ke moujuda dhanche area 3lakh 56 hazar 800 meter hai, yaani 88.2 ekad). isme Hajj ke dauraan 40 lakh log aa sakte hai jo Insano ka sabse bada Salana jamawada hota hai.
Masjid-Al-Haram ki pehli Char diwari Hazrat Umar Farooq RaziAllahu Ta’ala Anhu ne 639 CE me banwayi. San 1576 (CE) me Usmani Turko ne safai baramade banwaye, jo 21vi sadi tak moujood rahe.
Masjid-Al-Haram ke Darwaze:
Aaj kal Masjid ke kul 112 chhote bade darwaze hain, jiska pehla markazi darwaza Saudi ke pehle badshah Shah Abdul Azeez ke naam par hai.
Teesra bada darwaza “Bab-Ul-Umra” hai, jo shimal maghrib ki janib hai, Jaha se Nabi Pak (ﷺ) ne April 629 (CE) me umre ki sadat hasil ki thi. Masjid-Al-Haram samundar tal se unchai 330 meter bulandi par hai.
Khana-Kaba ki aakhri tameer Abdul Malik Bin Yusuf ke kehne par Hajjaj Bin Yusuf ne purane hi nishant par ki. Masjid-Al-Haram me Allah ki nishaniyon me se ek “Maqame-Ibraheemi” bhi hai, jo Kaaba se chand gaz ki doori par hai. Is patthar par Hazrat Ibrahim (Slahi Salam) ke pairo ke nishan aaj bhi qayam hai.
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.