Jama Masjid (Delhi, India)
Delhi ke etihasik virse me shamil “JAMA MASJID” ko bhala koun nhi janta.
Purani Delhi me Laal Qile ke 500 Meter doori par bani ye Masjid sadiyon se rajdhani ki shan badha rahi hai.
Kab aur kisne banayi yah Masjid ?
Delhi ki “JAMA MASJID” ko Mughal Badshah “SHAHJAHA” ne banwaya tha.
Is Masjid ki tameer ka kaam 1650 me shuru hua tha or ye 1656 me bankar tayar hui.
Is Masjid ke baramde me 25,000 log ek sath namaz ada kar sakte hain.
Is Masjid ka inauguration Bukhara (Uzbekistan) ke Imam Sayyed Abdul Ghafur Shah Bukhari ne kiya tha.
“JAMA MASJID” ko 5,000 se zyada mazduron ne milkar tameer kiya tha.
Is Masjid ki tameer mein us waqt takriban 6 saal or 10 lakh rupaye kharch hue the.
Masjid me dakhil hone ke liye 3 bade darwaze hain.
Masjid me 3 Gumbad or 2 Minarein hain
Har ek Minar ki unchai 40 meter (kareeb 131.2 feet) hai.
Ye Masjid Laal Pattharon aur Sangmarmar ki bani hui hai, iski lambayi 80 meter or chordayi 27 meter hai. Maghrib ki taraf markazi ibadatgah me unche-unche mehrab sajaye gaye hain jo 260 khambon par hain aur inke sath lagbhag 15 sangemarmar ke gumbad hain.
Pakistan ke Lahour ki Badshahi Masjid bhi delhi ki Jama Masjid se milti julti hai.
“JAMA MASJID” ki tameer ka kaam Sadaullah Khan ki dekh-rekh me kiya gaya tha, jo us waqt Shahjahan governance me Wazeer (Prime Minister) the.
1857 ki azadi ki ladayi me jeet hasil karne ke baad angrezon ne Jama Masjid par kabza kar liya tha aur waha apne sipahiyon ka pehra laga diya tha.
Zamana-e-qadeem me “JAMA MASJID” ko “JAHA NUMA MASJID” bhi kaha jata tha.
Ye “UNESCO” ki “WORLD HERITAGE LIST” me shamil ek khaas imarat hai.
1948 me hyderabad ke aakhri Nizam Asaf Jahan VII se Masjid ke 1/4 hisse ki marmmat ke liye 75,000 mange gaye the lekin Nizam ne 3 Lakh rupey diye aur kaha ki “Masjid ka baqi hissa bhi purana nahi dikhna chahiye”
14/4/2006 ko Jume ki namaz ke theek baad ek ke baad ek 2 dhamake hue the, isme 9 log zakhmi hue the.
22/11/2014 ko Sayyed Shaban Bukhari ko 14th Imam bnaya gaya hai.
Aaj bhi yahan rozana hazaron ki tadad me log ghoomne ke liye aate hain.
Related Posts: