Aurto Ka Gair Mardo Se Rukha Andaz Sahi Ya Galat?
Quran-e-Kareem me Allah Ta’ala faramata hai ke, Majburi ke Mauke par Unsey (Yaani Gair Mardo Se) Baat Karni Pad Jaye Tou Zara Bhi Naram Andaz Me Baat Na Kare Ki – Koi Kamzor-Dil Mard Dil Me Kuch Khayal Kar Baithe.
– Aise Me Yehi Hukm Hai Ki Unsey Rukhe Andaaz Me Hi Baat Kare Ki Jiski Wajah Se Woh Aurat Ke Narm Andaz Ki Taraf Raghib(Attract) Na Ho Aur Rukhe Andaaz Ki Wajah Se Dil Me Kuch Khayal Hi Na Kar Paaye.
Bismillah-Hirrahman-Nirrahim
Surah Al-Ahzab-33:34
“Aur Allah Se Daro (Darti Ho) tou Baat me Aisi Narmi Na Karo Ki Dil ka Rogi kuch Laalach kare, Haan Achchi Baat Kaho aur apne Gharo me Thehri raho aur Beparda naa raho jaise agli Jahiliyat ki Be-Pardgai.”
Iss Aayat se pata chala ki Qable Islam se (Agli Jahiliyyat) Uss daur ki aurate
Itarati Gharo se Nikal padti thi,
– Apni Zeenat Aur Mahashin Ka Izhar Karti Thi,
– Libaas Aise Pahenti Thi Ki Jis Se Jism Ke A’aza Achchi Tarah Na Dhanke…
– Magar Afsos Ki Aaj Phir Se Zamana Usi Agli Jahiliyyat Ki Aur Barhta Ja Raha Hai !!!!
*Allah Khair Karey ….
Related Posts: