Islamic Quiz 308
Roze ka asal Maksad kya hai ?
Options Are 👇
A. Khana Bachana
B. Khana Khilana
C. Parhezgari
D. Sehri aur Iftaari
Sahih jawab hai : Option ( C )
✅ Parhezgari
Roze ka Asal Maksad hai Parhezgaari (Allah ka Darr/Taqwa) ikhteyaar karna.
Allah Rabbul Izzat ne Surah Baqraah ki Aayat 183 me farmaya aur kaha:
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Aye Emaan walo tum par Roze farz kiye gaye, Jaise tumse pichli Ummato par farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa (Parhezgaari) ikhtiyar karo.”
Tou Taqwa yaani Parhezgari Roze ka asal maksad hai, Taqwa Ramzan ka asal maksad hai, Taqwa Roze ka paigaam hai, Taqwa Ramzan ka paigaam hai.
Aur Allah Rabbul Izzat ne baar-baar is paigaam ko dohraya aur kaha: “Aye wo logo jo imaan laye ho Taqwa (Parhezgaari) ikhiyar karo” aur ye aayat Quraan me baar–baar repeat hui hai.
Tou gour karne wali baat hai ke Taqwa yaani Allah ka darr jo ki bohot hi Ahmiyat waali baat hai jiska paigam hume diya gaya.
Isiliye Kyunki: Allah ka darr jab insan me aa jata hai tou Insan Haram aur Halal ki tameez karne lagta hai, Deeno Shariyat aur Duniyawi fizul kaamo me fark karne lagta hai, Duniya par Aakhirat ko tarzi deney lagta hai, dhokeybazi, jhooth, Zina, Sharab, juwa aur tamam buri khaslato se ahtiyat karta hai.
Tafseeli jankari ke liye Ramzan Ki Fazilat ke baaki Parts ka bhi muta’ala kare, jazakAllahu Khairan Kaseera.