♥ Quraan-e-Kareem ♥ 22 Saal, 2 Maah, 22 Din Me Nazil Hua aur Isme
Siparey → 30
Sajdey → 14
Manzil → 7
Surtein → 114
Makki → 86
Madni → 28
Ruku → 540
Aayat → 6236
Huroof → 323760
Zabar → 53243
Zer → 39582
Pesh → 8804
Madd → 1771
Tashadid → 1243
Nuqtey → 105681
1. Sawaal: Quraan Majid Me Waqfe Laazim ( ﻡ) Kitne Hain ?
» Jawaab: Quraan Majid Me Kul 87 Waqfe Laazim Hai. Waqfe Laazim Ka Matlab Ye Hai Ki Quraan Shareef Ki Jis Aayat Me Memm (ﻡ) Ki Shakal Me Nishaani Paayi Jaye Waha Rukna Wajib Hai, Agar Nahin Ruke Tou Mana(Meanning) Badal Jata Hai.
2. Sawaal: Quraan Majid Me Kul Kitni Manzilein Hai ?
» Jawaab: Kul 7 Manzeelein Hai.
3. Sawaal: Quraan Shareef Me Sabse Chhota Rukuh Kaun Si Surah Me Hai?
» Jawaab: Surah Al Muzzammil(Surah 73) Me Hai Sirf Ek Hi Aayat Hai Ek Ruku Me.
4. Sawaal: Quraan Me Sabse Lamba Ruku Kaun Si Surah Me Hai?
» Jawaab: Surah Al-Saffat Ka Dusra Ruku Jisme 52 Aayat Hai, Aayat No 22 To 74.
5. Sawaal: Quraan Majid Ki Sab Se Chhoti Ayat-e-Karima Kaunsi Hai ?
» Jawaab: Summa Nazar Jisme Sirf 5 Hurf Hai. Suraah Mudassir Parah 29.
6. Sawaal: Quraan Majid Ki Sab Se Badi Aur Sab Se Chhoti Suraah Konsi Hai ?
» Jawaab: Sab Se Badi Surah “Surah-Al-Baqarah” aur Sabse Choti Surah “Surah-Al-Kausar” Hai.
7) Sawaal: Quraan Shareef Me Nuqte Kisne Aur Kab Lagaye?
» Jawaab: Hazrat Hajjaj Bin Yusuf Sakfi Ke Hukm Se Nasar Bin Aasim Lesi Aur Yahya Bin Yamar Ne Lagaye, Hijri 86 Me.
8. Sawaal: Quraan Majid Ki Kaunsi Surah Ki Har Aayat Me Lafze ‘Allah’ Mauhud Hai ?
» Jawaab: Suraah Al Mujadilah Ki Har Aayat Mai Lafz ‘Allah’ Hai.
9. Sawaal: Quraan Majid Mai Bismillah Ki Aayat Kitni Martaba Aayi Hai ?
» Jawaab: Quraan Majid Mai Bismillah Ki Aayat 114 Baar Aai Hai.
10. Sawaal: Quraan Majid Ki Wo Kaunsi Suraah Hai Jo Do (2) Baar Naazil Hui ?
Wo Suraah Makki Bhi Hai Yaani Makkah Me Bhi Naazil Hui Aur Madani Bhi Hai Yaani Madina Me Bhi Nazil Hui.
Par Quran Mai Darj Ek Hi Baar Ki Hai.
» Jawaab: Surah Fateha Makka Aur Madina Dono Jagah Naazil Hui Par Usey Makki Surah Hi Kaha Jaata Hai.