#1. Insano me Rangat ka Ikhtelaf (Color Variations) kis liye hota hai ?
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
۞ Al-Quran: Logon! humne tum sabko ek mard aur ek aurat se paida kiya aur tumhare kunbey aur kabiley banaye taaki tum ek dusre ki shanakth karo. [Surah Hujurat 49:13]
۞ Al-Quran: ke Allah Rabbul izzat ke aayto aur nishaniyon me se hai ke usney aasman aur zameen ko paida kiya aur tumhari Zubaano aur Rangat ka ikhtelaf bhi allah ki nishani hai.
[Surah Room 30:22]
#2. Kya Biwi Shohar ko Zakaat dey Sakti hai?
Jee Haa! Biwi Shohar ko apni Milkiyat se Zakaat Dey Sakti Hai.
۞ Daleel:
Hadees: Abdullah ibne Masud (R.A.) ka ibtedayi dour tha, aapki Biwi RasoolAllah (ﷺ) ke paas aayi aur kehne lagi ke –
“Aye Allah ke Rasool (sallallahu alaihay wasallam)!
Meri itni-itni Zakaat banti hai, Mai kisko du,
koun jayda mustahik hai ?”
Jab wo Aap (ﷺ) se masla daryaft kar rahi thi
tabhi Abdulah ibn Masood piche se aaye aur kaha ke –
“Ya RaoolAllah (ﷺ) ! aisi biwi ke bare me Aap kya farmayenge jo Zakaat deti hai lekin uska Shohar hi Gareeb(mustahiq) ho …”
Phir Aap (ﷺ) ne kaha ke –
“Phir behtar hai ke wo Biwi apne Shohar ko hi de dey ,.. ”
– Sahih Bukhari, Hadith no.1462
Tou Abudullah ibn Masud (R.A) ki Biwi samajh gayi aur unhe hi Zakaat dey di.
Lihaja iss Aahadees se pata ye chala ke agar Biwi ke paas apni milkiyat me se zakat nikalti hai aur Shohar uska Maqrooz aur Mustahik ho tou wo apne Shohar ko hi zakat de sakti hai.
Lekin yaad rahe Shohar Biwi ko Zakat nahi dey sakta kyunki Biwi uski jimmedari hai. uske Akhrajat (kharche) uthaney ki jimmedari mukammil taur se Shohar ki hi hoti hai.
#3. Agar Hum Chahte hai ke Allah Hum par Reham kare tou Hume kya karna chahiye?
Allah Rabbul Izzat Quraan me farmata hai:
“ita-at karo Allah ki aur uske Rasool ki ta’aki tum par Reham kiya jaaye”
– Surah Aale Imran 3:132
#4. Islam me in me se Sabse Afzal Martaba kin Logon ka hai?
Islam Me Sabse Afzal Martaba Muttaqi (Parhezgaar) Logon ka hai.
Daleel :
“Beshaq Allah ke nazdik ikram wala wohi hai jo Allah ka Darr(Taqwa) rakhta ho.”
– Surah Huzrat 49:3
#5. Aksar Bacche Jhuth Bolna Sabse Pehle kin se Sikhte hai ?
Baccho ki Taalim-o-Tarbiyat ka sabse pahla marhala uske apne Ghar aur Gharwalo se shuru hota hai. Lihaja jin halato me Baccho ki Tarbiyat hoti hai baccha waisa hi banta hai.