Islamic Sawal Jawab Quiz 8

 

#1. Insan Qayamat ke Roz kiske Saath Hoga?

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Al-Maru Ma’ Man Ahab” “Insan (Qayamat ke Din) Uskey Saath rahega Jis sey wo Mohabbat karta hai.”

– Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 189

#2. Shaitan In me se Sabse Jyada Kisko Behqaane ki Koshish karta hai?

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Ye Sidhi Lakeer mera Rasta (Sirat-e-Mustaqeem) hai tou Aye Imanwalo Iski Itteba karna, Iske Alawa kisi ki Itteba na karna warna Sidhi raah se bhatak jaoge.”

– Surah Al-An`am 6:153

#3. Momino me Agar Kisi baat par Ikhtelaaf ho jaye tou Unme Sabse Pehle Insaf ka Mayaar kya ho?

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Aye Emaanwalo ! Ita’at Karo Allah ki aur Uske Rasool Ki, aur Ita’at karo Unki Jo Ulool Amr hai (Isme Khalifa-e-Wakt aur Ulma Shamil hai).

Lekin agar kisi Muamle me Ikhtelaaf ho jaye tou Paltaado apni baato ko Allah aur Uske Rasool ki taraf agar Allah aur Roze Aakhirat par Iman rakhte ho.”

– Surah Nisa 4:59

#4. Wo Kounsi Baat hai Jiski Wajah se Mu’ashre me Sabse Jyada Fitney aur Fasad Hotey hai ?

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Jab koi Fasiq (Untrusted Person) koi Khabar le kar aaye tou khoob tehqeeq kar liya karo ke Khabar kitni Sacchi hai.”

– Surah Al-Hujraat:49:6

#5. Aurto se Nikah kis Cheez ki Buniyad par Karna Sunnat hai?

Hadees: Aurat se 4 Cheezo ki wajah se Nikah kiya jata hai –

1. Uska Maal, 2. Husn Wa Jamal, 3. Uska Khandan, 4. Uski Deendari. Lekin tum Deendari ko yhaam lo (kamiyab ho jaoge)”

– Bukhari: Jild 3, Safa 59




Previous
Finish

Results

Pre Quiz All Next Quiz