#1. Allah ka Zikr Na Karnewale ki Misaal in me se kya hai?
Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai ke –
“Jo Shakhs Allah Ta’ala ka Zikr karta hai aur Jo Allah Ta’ala ka Zikr nahi karta Unn ki Misaal Aesi hai jaise – “Ek Zinda aur Ek Murda.”
– Al-Bukhari and Muslim
– Arabic/English Book Ref: Book-16, Hadith#1434
#2. Apne Baccho ko Boli Sikhaane ka Aagaz kis Baat se Kare?
Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai:
“Kalma-e-Taiyaba, ‘La Ilaha Illallah’ Se Apne Bacchey Ko Boli Sikhaney Ka Aagaaz Karo”.
– Baihaqi Sharif
#3. In me se Kounsi Cheez Aurato ke liye tou Halaal hai Magar Mardo ke liye Haraam?
Hadees: Abu Musa (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai –
“Sona (Gold) aur Resham (Silk) Meri Ummat Ki Aurato Par Halaal hai aur Mardon Par Haraam.”
– Sunan an-Nasa’i #5148; Book 48, Hadith#109
#4. In me se Kounse Shakhs ki 40 din tak Namaz Qabool Nahi hoti?
Hadees: Hazrate Hafsa (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool-e-Paak (ﷺ) ne farmaya Ki –
“Agar Koi Musalman Kisi Majoosi, (Qaahin) ke Paas jakar Kuch Daryaft karta hai tou Uski 40 Din ki Namaz Qubool Nahi Hoti.”
– Muslim Sharif Vol-2 Page-233
#5. Jab Shaam ka Andhera hone lagey tou Baccho ko Gharo me kyu Rokne ka Hukm diya?
Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai –
“Jab Shaam ka Andhera (Magrib) hone lagey tou
Apne Baccho Ko Ghar me Rokey Rakho Kyunki Uss Waqt Jinn aur Shayateen Fayl Jatey hai”.
– Bukhari#3316;
– Sunan Abu Dawud#2604