Islamic Sawal Jawab Quiz 4

 

#1. In me se kin Logon ko Jahannum ke Sabse Nichley Gadhey me Azaab diya Jayega?

Munafiqo ke Sangeen Jurm ke Sabab Allah Rabbul Izzat ne Jahnnnum ki Sabse Gehrayio me Azab Rakha hai jiske Talluk Quraan me Allah Ta’ala armata hai –

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Munafiq Wo hai jo Jahannum ke Sabse Nichley Gaddhey me Rahne waaley hai.”
– Quran 4:145

#2. Mushrikaan-e-Makkah Allah ki Hidayat ko kis Bahaaney se inkar kar detey they?

Allah Raabul Izzat Mushriko ki hatdharmi bayan karte hue Quraan me farmata hai –

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Aur Jab Mushriko se kaha jaye ki Allah ke utaare(hidayat) par Chalo tou kahenge: Hum tou usi pe Chalenge jis par humne apne Baap-Dada ko paya, Agarche unke Baap-Dada naa kuch Aqal rakhte ho na Hidayat.”

– Quran 2:170

#3. Kis Burayi ki Buniyad par Aadam (Alaihi Salam) ke – Ek Betey ne dusre betey ka Qatl kiya?

Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –

“Hasad se Bacho! Iss liye ke Aadam (Alaihay Salam) ke ek Bete ne dusre bete ko “Hasad” me Qatl kar diya tha.”

– Ibn-e-Asaakir:40/49

#4. Wo koun hai jise kabhi Mout nahi aani ?

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai:

“Jo makhlooq zameen par hain sab fana hone wali hai aur sirf tumhare parwardigar ki zaat jo azmat aur karamat waali hai baqi rahegi.”

– Quran 55:26-27

#5. In me se Kounsa Amal Kufr hai?

Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya –

“Mujhe Dozakh dikhai gayi, Maine waha Aurato ko jyada paya, wajah ye hai ki woh Kufr karti hai.”

Sahaba ne Arz kiya ‘Kya wo Allah ke sath Kufr(Shirk) karti hai?’

Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ‘Nahi! wo Shohar ki Nashukri karti hai. Jo ke ek tarah ka Kufr hai aur ehsaan nahi maanti, agar tu kisi Aurat se Umar bhar ehsaan aur Neki ka sulook kare lekin 1 baat bhi khilaf-e-tabiyat ho jaye tou jhath se keh degi ke “Maine tumse kabhi aaram aur sukoon nahi paya.”

– Bukhari Sharif Jild 1, Baab 21, Hadees-28, Safa 109




Previous
Finish

Results

Pre Quiz All Next Quiz