Islamic Sawal Jawab Quiz 2

 

#1. RasoolAllah (ﷺ) par Sabse pehle Nazil hone waali Aayate Kounse Surah ki thi ?

RasoolAllah (Salallaho Alaihi Wasallam) par Nazil hone waali
Quran ki sabse pehli 5 aayte Surah Alaq ki thi.

1. “Iqra’ Bismi Rabbika Al-Ladhi Khalaqa.
» (Parh Apney Rab Ke Naam Sey Jiss Ney Paida Kiya).

2. “Khalaqa Al-‘Insana Min Alaqin.
» (Jisney Insan Ko Khoon Ke Lothrey Se Paida Kiya.)

3. “Aqra’ Wa Rabbuka Al-‘Akramu.
» (Parh Uss Rab Ke Naam Se Jo Bada Karam Karne Wala Hai.)

4. Al-Ladhi `Allama Bil-Qalami.
» (Jisne Insan Ko Qalam Ke Zariye (Ilm) Sikhaya.)

5.”Allama Al-‘Insana Ma Lam Ya`lam.
» (Jisney Insan Ko Woh Sikhaya Jo Woh (Insan) Nahi Janta Tha.)

#2. Quran ka Nuzool Jis Raat hua Uss “Lailatul Mubarak” se muraad kounsi Raat hai ?

Allah Rabbul Izzat iske Talluk se Quraan me farmata hai –

“Ramzan ka wo Mahina jisme Quraan ka nuzool hua insaniyat ki Hidayat aur rehnumai ke liye.”

📕 Surah: Al Baqrah 2:185

Aur hum sab Jantey hai ke Inme se “Shabe Qadr” ki Raat Ramzan me hi aati hai.
is Aayat me Unn Hazraat ke liye bhi nashist hai Jo
Surah Dukhan ki Aayat no. 3 ka hawala de kar Laylatul Mubarak se
muraad Shabe Barat ko saabit karne ki koshish karte hai.

Allah Hum sabko Kitabo Sunnat par Sahaba ke feham ke mutabik Amal ki taufik de.

#3. Shabe Qadr ki Mubarak Raat Ramzan ke Kounse Ahsre me Aati hai ?

Hadees: Hazrate Aayesha (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –

“Shab-e-Qadr ko Ramzan ke Aakhri Ashre ki taaq raato (21, 23, 25, 27, 29) me talaash karo”

– Sahih al-Bukhari 2017: Book 32, Hadith# 4

#4. Wo Kounsa Gunaah hai Jiski Misaal Apne Bhai Ka Gousht Khaane ke barabar hai?

Allah Rabbul Izzat ne Quraan me iss Gunaah ki khabahat ke talluk se Momino ko Aagah karte hue farmaya Jiska Mafhoom hai ke –

Ek-dusre ki Geebat (Backbiting) na karna,

kya tum pasand karoge apne bhai ka gosht khana… is se tou tumhe karahat aayegi

– Al-Quran 49:12

#5. Inme se Kounsi Cheez ki Buniyaad par Banda Allah Ta’ala ke Nazdeek Pasandida hota hai?

Allah Rabbul Izzat Quraan me farmata hai –

“Inna Akramakum IndAllahi Atqakum”

Trajuma: Beshaq Allah ke Nazdik Ikram wala wohi hai Jo Allah ka Darr(Taqwa) rakhta ho)

– Al-Quran 49:13




Previous
Finish

Results

Pre Quiz All Next Quiz