Islamic Sawal Jawab Quiz 1

 

#1. Wo Kounsi Surah hai “Jiski Tilawat 1/3 Quraan Padhne ke Barabar hai?

Hadees: Abu darda (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “kya thak jata hai
tum mein se koi is baat se ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ?”
Sahaba ne arz kiya ki ‘Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey padhh saktey hain ?’
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Qul Huwallahu Ahad ( Surah Al- ikhlas) Ek teehaii Quran ke barabar hai.”

– Sunan an-Nasa’i, Hadees 3533b

#2. In me se Imaan aur Kufr ke Darmiyaan Farq karne waali Cheez kya hai ?

Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Iman aur Kufr ke Darmiyan farq karne waali cheez Namaz hai.”

– Jami At-Tirmidhi, Hadees: 2618

#3. Kisi bhi kaam ke shuru me kya kehna chahiye?

Jab bhi kisi kaam ka aaghaz karna ho, to “Bismillah” kehna sunnat hai aur iska taluq Islam ki talimat se hai. Ye lafz “Bismillah-ir-Rahman-ir-Rahim” ka mukhtasir hai, jo ke Quran-e-Pak ka aaghazi jumla hai (Surah Al-Fatiha, Ayat 1). Iska matlab hai “Allah ke naam se, jo nihayat rehmat wala aur meherban hai.”

Bismillah kehne se har amal par barkat hoti hai aur ye Allah ki madad talab karne ka izhar hota hai. Ahadith ke mutabiq, RasoolAllah Muhammad (SAW) ne farmaya ke jo kaam Allah ke naam se shuru hota hai, usme behtaree hoti hai.

#4. Aayatul Khursi Kounsi Surah ka Hissa Hain?

Aayatul Kursi Surah Baqrah ki 255 number ki Aayat kehlati hai.

Dekhe: https://hindiquran.in/ayatul-kursi-hindi/

#5. RasoolAllah (ﷺ) ko Allah ne kin ke liye Rehmat banakar Bheja?

Allah Rabbul Izzat iske Talluk se Quraan me farmata hai –

Wama Arsalnaka Illa Rahmatan Lil Aalameen
(Trajuma: Aye Nabi! Humne Aapko Tamam Insaniyat ke Liye rehmat banakar bheja)

– Al-Quran 21:107




Previous
Finish

Results

All Quizzes Next Quiz