Apne Bhai Ko Uskey Gunaaho Par Sharminda Na Karey ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya - “Jis Shakhs Ne Apne Bhai Ko Kisi Aise Gunaah Par Sharminda Kiya Jis Se Woh Taubah Kar Chuka Tha , Tou Woh Uss Waqt Tak Na Marega Jab Tak Ke Woh Uss Gunaah Ko Na Kar Lega” - (Sunan Tirmizi 2505, Shobul Imaan 6271)
Gunaah-e-Saghira Aur Gunaah-e-Kabira .... ∗ Gunaaho Ke Do (2) Kism Hotey Hai, » 1. Gunaah-e-Saghira (Chote Chote Gunah) » 2. Gunaah-e-Kabira (Bade Bade Gunaah) *Gunaah-e-Saghira Acche Amaal Aur Ibadat Ki Barkat Se Muaf Ho Jate Hai, - Lekin Gunaah-e-Kabira Uss Waqt Tak Muaf Nahi Hotey Jab Tak Sacche Dil Se Taubah Karke Unsey Hamesha Ke liye Parhez Karne Ka Pakka Ahad Na Kiya Jaye.
Din Ki Shuru Aur Aahiri Me Achay Kaam Kiya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Jis Ne Din (Day) Ki Shuruwat Kisi Achay Kaam Se Ki Aur Apne Din (Day) Ko Achay Kaam Hi Par Khatm Kiya Tou Allah Apne Farishtay Se Farmayega, "Inn Dono (Din Ke Shuru Aur Aakhir) Ke Darmiyan Jo Sagheera Gunaah (Kum Darje Ke Gunaah) Hain Unhe Mat Likho". - (Jama-Al-Sagheer Al Suyuti, Page:813, Hadees:8423)
Gunaah Karna Apne Nafs Pe Zulm Karna Hai .... Aaj ki Aayat | Verse of the day Gunaah karna Apne Nafs pe Zulm karna hai ✦ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ✦ "Allah Tou Hargiz Bando Par Kuch Bhi Zulm Nahi Karta Magar Log Khud Apne Upar Zulm Kiya Karte Hai". 📕 Al-Quran; Surah Yunus 10:44 » Beshaq Gunaah Karna Apne Nafs Pe Zulm Karna Hai. Allah Ta'ala Hume Tamam Kism Ke Sagira aur Kabira Gunaah se Bachney Bachaaney ki taufiq ata farmaye...Ameen Allahuma Ameen !!!!
Ilm Ki Talash Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ke - "Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uss Ke Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi” - (Mir’aatul Manahij, Jild 1, Safa 203) # Wajahat: Taalib-e-Ilm Se Sagira Gunaah Muaf Hote Jate Hai, Jaise (Gunaah-e-Saghira) Wuzu Namaz Vagaira Ibadat Se Lihaza IsKa Matlab Yeh Nahi Ke Talibe Ilm Jo Chahe Gunaah Kare. - Balki Matlab Yeh Hai Ki Allah Ta’ala Niyat-e-Khair Se Ilm Ki Talab Karne Walo Ko Gunaaho Se Bachney aur Gujasta Gunaahao Ka Kaffara Ada Karne Ki Toufiq Deta Hai,.. Subhan'Allah ,.. For more Islamic messages kindly download…
Bahut Gumaan Karne Se Bacha Karo, Ke Baaz Gumaan Gunaah Hai ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ "Aye Emaan Waalon! Bahut Gumaan Karne Se Bacha Karo, Ke Baaz Gumaan Gunaah Hai, Aur Ek-Dusre Ke Aib Na Tatola Karo, Aur Na Koi Kisi Ki Geebat Kiya Kare ,. Kya Tum Me Koi Iss Baat Ko Pasand Karega Ke Apne Murde Bhai Ka Gosht Khaye. Is Se Tou Tum Nafrat Karte Ho, Aur Allah Se Darte Raha Karo, Bila Shuba Allah Khoob Taubah Qubool Karne Wala Reham Wala Hai." - (Al-Quran, Surah Hujurat 49:12) ♥ बिस्मिल्लाह अर्रहमान निर्रहीम ♥ "ऐ ईमानदारों बहुत से गुमान (बद) से बचे रहो क्यों कि बाज़ बदगुमानी गुनाह हैं और आपस…
Takabbur, Ghamand (Pride, Ego) Ka Behtareen Ilaaj .... ★1. Jab Apney Se Kum Umar Wale Ko Dekho Tab Bhi Usey Apne Se Behtar Jane, Kyunki Uske Gunaah Hum Se Kum Hai.!! ★2. Jab Apney Se Bari Umar Wale Ko Dekho Tab Bhi Usey Apne Se Behtar Jane, Kyunki Uski Nekiyan Hum Se Zyada Hogi.!! ★3. Jab Apney Se Kum Ilm Wale Ko Dekho Tab Bhi Usey Apney Se Behtar Jane, Kyunki Woh Kum Ilmi Ki Wajah Se Gunaah Kar Raha Hai Aur Hum Ilm Hotey Huwe Bhi.!! ★4. Jab Apney Se Zyada Ilm Wale Ko Dekho Tab Bhi Usey Apney Se Behtar Jane, Kyunki Woh Apney Ilm Ki…
Islamic Quiz 170 Jo Kisi Musalman ke Aib (Burayi) ko Chupaye Uske ke liye Kya Khushkhabri hain? A. Sagheera Gunaah Muaf Ho jayenge B. Kabeera Gunaah Muaf Ho jayenge C. Allah Qayamat me Uske Aib Chupayega D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Allah Qayamat me Uske Aib Chupayega Daleel : Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shaqs Kisi Muslaman Ke Aib Ko Chupaye Allah Taala Qayamat Mein Uske Aib Chupayega." 📕 Sahih Bukhari 2442
Islamic Quiz 202 Kounse Do Gunaah hain Jiski Saza Duniya mein hi Mil jati Hain? A. Shirk o Bidat B. Riyakari Rishwath C. Zulm Aur Qata Rehmi D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Zulm Aur Qata Rehmi Daleel : ۞ Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Koi Gunaah Is Layeq nahi ke Allah Taala Uski Saza Duniya mein bhi Jaldi Dede aur Uske Saath Saath Aakhirat mein bhi Jama Rakhe Jaise ke Zulm O Zyadati aur Qata Rehmi." 📕 Sunan Abu Dawood 4920
Beqasoor Musalman Par Ilzam Lagane Ka Gunaah ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - "Kisi Beqasoor Musalman Par Ilzam Lagana Aasman-O-Zameen Se Bhi Bhaari Gunaah Hai". - (Bukhari Vol-1, Page-330)
Nadamat me Gunaah Muaf farma Diye jate hai Hadees of the Day Nadamat me Gunaah Muaf farma Diye jate hai Abdullah Bin Salaam (R.A) Se Mairwi hai ki, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Jab Koi Banda Allah Ta'ala ke Hazoor Taubah Karta hai aur Apne Gunaah par Nadamat Mehsoos karta hai tou Uskey Nadeem hone se pehle hee uske Tamaam Gunaah muaf farma diye jate hain." 📕 Nuzhat-Ul-Majalis, V2:228
Download Ummat-e-Nabi Official Android App Assalamo Alaikum Wa Rehmtullhi Wa Barkatuhu ! kindly download our Ummate Nabi official Android app for huge islamic post collection in roman urdu, hindi & english. - ummat-e-nabi.com/home Team Features: › Islamic News › Islamic Quiz › Islamic Naat & Video Bayan › Daily Hadees & Quranic Verses Notification on Mobile. › Hadith Collection in Urdu & Hindi › Masail in the light of Qurano Sunnat Android App ♥ In'sha'Allah ! Upcoming Features: › Tafseer ibn Kaseer in Roman Urdu › Halal Job › Islamic Matrimonial
Teen (3) Gunaah Jo Sab Se Pehle Wajood Me Aaye .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibn-e-Masood (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaya Ke - "Teen (3) Gunaah Aise Hai Jo Sab Se Pehle Wajood Me Aaye Lihaza Insey Bacho". » (1). Takabbur(ego) Se Bacho Iss Liye Ke Takabbur Hi Ne Shaitaan Ko Hazrate Aadam (Alaihay Salam) Ko Sajda(Sajda-e-Tazim) Karne Se Roka Tha. » (2). Hirs (Lalach) Se Apne Aap Ko Bachaao Iss Liye Ke Hirs Hi Ne Hazrate Aadam (Alaihay Salam) Ko Darakht-e-Mammnoo Khaane Par Ubhara Tha. » (3). Hasad Se Bacho Iss Liye Ke Hazrate Aadam (Alaihay Salam) Ke Ek Bete Ne Dusre Bete…
Maa Baap Par Laanat Karne Se Bacha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai - "Gunaho Me Se Bada Gunaah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Lanat Kare, Logon Ne Kaha - 'Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Lanat Karega ?' *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Matlab Ki, 'Ek Shakhs Dusre Ke Baap Ko Gaali De! Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gaali De, Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De! Aisa He Ki Woh Apni Maa Ko Gaali De'." -@[156344474474186:] (Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Adab, Hadees No#5973) # SABAQ: Kisi Ke Maa-Baap Ko Gaali…