Islamic Quiz 138

Islamic Quiz 138

ka Sahih jawab hai : Option ( D )

✅ Shirk-e-Khafi (Chupa hua Shirk)

Daleel :

Riyakari ko Shirk-e-Khafi ya Shirk-e-Asgar yaani Posheeda Shirk bhi kehte hai.

۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“kya main tumko aisi cheez ke bare mein na bata du jo mere nazdeek Maseeha Dajjal se bhi zyada khatarnaak hain?

Hum ne Arz kiya: kyun nahi?

Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Wo posheeda (chupa huwa) Shirk hain jo ye hain ke aadmi Namaz padhne khada hota hain, aur jab usey malum hota hain ke koi usey dekh raha hain to apni Namaz ko sirf is wajah se khoobsurti se ada karta hain.”

📕 Sunnan e Ibn e Majah#4204-Sahih

Beharhaal, logon ko dikhane ke liye kisi ibadat ko anjaam dena Shirk-e-Khafi yani chupa hua shirk kehlata hai. Allah hum sabko Shirk ke Tamam Aqsam se bachaye.

Hume kehne Sunne se jyada amal ki taufiq nasib farmaye. Ameen.