Islamic Quiz 165
ka Sahih jawab hai : Option ( C )
Mushrik
Aasman ki Bulandiyo se Girne Wale ki Misaal Quraan me Mushrik ke Talluk se Bayan ki gayi hai.
Daleel :
Allah Rabbul Izzat Mushriko ke Shirk ke sabab misal bayan karte hue farmata hai –
“Jo Allah ke sath kisi ko Shareek thehraata hai, wo aisa hai goya aasman ki bulandiyo se wo gir gaya aur aasman ki bulandiyo se girne ke baad usey ek parinda uchak le jaye ya fir koi hawa chale aur jaha chahe usey tinkey ke jaisa uthakar fenk dey.”
Ab Sawal ye aata hai ke “Ye Misaal Kafir ki kyu nahi ?”
Tou beharhaal iss misaal me Allah Ta’ala uss shakhs ke baare me bayan farma raha hai jisne Shirk kiya. yaani kahi-na-kahi wo Allah ko Rab janta aur maanta hai.
Lekin fir bhi Allah ki Zaat me, Naam-wa-Sifat me dusro ko Shareek thehra raha hai. tou goya jab wo Allah ko Rab janta hai uske sabab Allah ne usey aasmano ki bulandi ata kar di aur jab usne Shirk kiya tou Allah Rabbul izzat ne usey aasman ki unchayi se nichey fenk diya.
Aur Kafir ka kabhi aasman ki bulandiyo tak jaane ka sawal hi nahi kyunki wo mukammil taur se Allah ka inkari hai.
Sabaq: Lihaja hume chahiye ki Tawheed ki Azmat ko samjhey, Iski bulandiyo ki Ahmiyat par hum gouro-fikr karey, Aur unn tamam-tar khabahat se bachey jo humare niche girne ka sabab hai.
Yaani har kism ke Shirk se har haal me khudko aur apne naslo ko bachanye ki koshish karey.
♥ Insha’Allah-Ul-Azeez!
– Allah Rabbul Izzat hume tamam kism ke Shirk se bachaye,
– Hume deen ka sahi ilm hasil karne aur uspey amal ki taufeeq ata farmaye,
– Jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey,
– Khatma humara imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil Aa’lameen !!!