Allah ke 99 Naam aur Sifaat ~ Quraan ki roshni mein | Roman Urdu & English
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah ka ye naam Allah ke apni makhlooq ke liye kushaada rehmat wala hone par Dalaalat karta hai, jis ki Rehmat tamaam makhloqaat ko Shaamil hai.
Aur ye naam Allah Ta’ala ke liye khaas hai, Allah ke siwa kisi (bhi makhlooq ko Rehman kehna jaez nahi hai)
Woh Zaat ke jo apne momin bande bandiyon par Baroz-e-Qayaamat Rahem karne wala hain, aur inhein bakhsne wala hain.
Chunanche Allah ne inhein apni Ibaadat ki taufeeq bakhshi.
Aur Aakhirat mein apni Ibaadat ke sileh mein Jannat mein dakhil farma kar inhein izzat ataa karenga.
Allah hi Haqeeqi Badeshah hain aur ishi ko ye haq hai ke woh jis kaam ka chahe apne bandon ko hukm kare aur jis kaam se chahe bando ko mana’ kare, woh apne hukm aur fe’l se apni makhloqaat me tasarruf karta hain.
Saltanat ko umdagi se chalaane ya apni makhlooq ka bharpoor khayaal rakhne mein Allah par kisi ko bhi fazeelath hasil nahi hai.
Allah Woh hai ke jo har Aib wa Nuqsaaan se bilkul Paak hain.
Allah woh hai ke jo apni be-misaal zaat apne buland ausaaf aur apne khoobsurat naamo aur apne tamaam umdah kaamo me Salaamati wala hain aur Duniya wa Aakhirat ki har Salaamati Allah hi ki milqiyat hai, Aur inhi ki ataa karda hai.
Woh har nukhs wa Aib se mehfooz hai, aur tamaam makhlukaat ko har is cheez se mehfooz wa salaamat rakhne wala hain jo makhlooq ko nuqsaan pohnchaane waali hai.
Allah woh hai jo apne Rasoolon aur in ke pairokaro ki Sacchai aur in ki Sadaaqat par dalaalat karne wala (baraheen yaani) daleel wa hujjaton ki tasdeeq karne wala hain aur har tarah ka aman bhi inhe Allah hi ki jaanib se milta hai.
Allah ne apne Emaan wale bando ko is baat ki Zamaanat di hai ke woh in par Zaraa baraabar bhi Zulm na karenga, inhe (daayimi) Azaab na denga, aur na Baroz-e-Qayamat inhe koi Ghabrahat wa Pareshaani ki kaifiyat laahaq hogi.
Allah woh hai ke jo apni tamaam makhlooq ke akele hi nigraan aur har ek ki kamaal e darje hifaazat karne wala, nez unke har Qaul wa Amal par Gawah hain aur unka gheraao karne wala hai.
Allah woh hai ke saari izzat isike laayak hai aur wahi iska akela mustahiq bhi hain, woh jise chahe izzat de, Allah ko Quwwat ki Izzat haasil hai, ke koi makhlooq bhi Allah par ghalba nahi paa sakti.
Mehfooz wa mazboot aur be-niyaazi ki izzat haasil hai ke Allah kisi ka mohtaaj nahi hain.
Quwwat wa Ghalbe ki izzat haasil hai ke koi cheez bhi Allah ki ijaazat ke baghair na kuch kar sakti hai aur na hi kuch keh sakti hai.
Allah woh hai ke jis ka har iraada wa chaahat naafiz hone waali hai, tamaam makhlooqaat Allah hi ke maatehat hain, Allah ki azmath wa jalaal ke saamne dam baqood aur Allah ke hukum ke aage bilkul bebas wa laachaar hai.
Allah Ta’ala har shikast-e-dil ko jodne wala hain, faqeer ko ghani karne wala hain, tang dast ko aasaish dene wala hain, nez mareez ko shifa yaabi aur museebat zada ko raahat wa salaamati ataa karne wala hai.
Allah Azeem hai aur apni tamaam tar baaton aur kaamo mein buraayi se, nuqs khaami se bhool chook se thakaawat wa ektaahat se oong wa neend se kamzoori wa bebasi se koso door hai.
Apni kisi bhi makhlooq par adna tareen Zulm karne se bahut buland hai..
Apni jhagdaalu makhlooq par poora qaabu rakhne wala hain, woh badaayi ki sifat se mutassif hai.
Makhlooq mein se agar koi badaayi ki sifat ko Allah se cheenney ki jurrat karega toh Allah iske tukde tukde kar dega aur isey Azaab dega.
Allah woh hai ke jisne apni saari makhlooq ko akele hi sirf 6 arse mein paida farma diya.
Allah woh hai ke jo baghair kisi misaal ke jis makhlooq ko jaisa chaaha banaane waala aur uske wajood ka izhaar karne wala hai.
Allah woh hai ke jo apni makhlooq mein se har ek ko iski munasib haal surat wa shakal ataa karne wala hai.
Yeh Allah ka aisa Naam hai ke jo Allah ke bakasrat apne bando ke Gunaahon aur inki laghzishon ko bakash dene par dalaalat karta hai, Woh Gunaahon ki muafi chahane wale Gunahagaar ko muaf kar deta hai.
(Allah woh hai ke jo apne bando ko kamaal e darja) apne qaabu mein rakhne wala aur inhein apne farmaan ka taabe karne wala hain.
Tamaam makhlooq ko apni bandagi par lagaane wala, aise zabardast ghalbe wala hain ke tamam ki gardane Allah ke saamne jhuki huwi aur tamam chehre Allah ke taabe hai.
Bahut Zyaada Atyaat ka maalik, apne bando ko bilaa muaawezaa ataa karne wala hain, aur baghair kisi tamanna wa laalach ke ataa karne wala.
Nez baghair sawaal ke inaam wa ikraam karne wala hai.
Yeh Allah ka ek aisa naam hai jo Allah ke apni tamam makhloqaat ko Bakasrat Rozi farahem karne wala honey par dalaalat karta hai.
Allah ke rozi farahem karne ka andaaz is darje umdah aur be-misaal hai ke, makhlooq ke maange baghair hi woh inhein Rizq ataa karta hain, balke Makhlooq ki Nafarmaaniyon aur Gunaahon ke ba-wajood inhein ataa karta hai.
Woh apni Milkiyat, Rehmath, Nez apni Roziyon ke Khazaano ko apne ilm wa Hikmat ke mutaabiq apni Makhlooq me se jis par chahta hain khol deta hai.
Allah woh hai ke jis ke (kaamil) ilm ne Zaahir wa Baatin, Poshida wa Alaaniya, Guzishta, Maujooda aur Mustaqbil ki har cheez ka gheraao kar rakha hai aur Allah se tamam makhloqaat me se koi ek bhi cheez chipi hui nahi.
Allah woh hai ke jo apni Makhlooq ki Roohon ko Qabz karta hain, aur wahi apni zabardast Hikmath wa Qudrat ke mutaabiq Aazmaane ke liye makhlooq me se jis kisi se chahe apne Rizq ko rokne wala hai.
Allah woh hai ke jo apni Umdagi wa Fayaazi nez apni Rehmat se apne bando me se jis ki chaahe Rozi me Faraakhi karta hain.
Aur apni Hikmat ke mutaabiq (is rozi ko in par tang kar ke) in ki Aazmaaish bhi karta hain (Aur apne Gunahgaar) bando ki Taubah ko Qubool karne ke liye apne dono haath phailata hai.
Allah Woh hai ke jo Maghroor wa Ghamandi logon ko past wa neecha karne wala hain, aur Sarkasho ko Zair karne wala hai.
Logon ke yaha Kamjor wa Aajiz samjhe jaane wale imaandaar bando ko Sarbulandi aur Baaladasti ataa karne wala hai.
Allah woh hai ke jo apni maqlooq mein se jise chahta hain Izzat ataa karta hai.
Allah woh hai ke Jo apni makhlooq mein se jise chahata hain Zaleel kar deta hai.
Allah woh hai ke jisne har Aahistaa se Aahistaa tar baat ka apni Sama'at (ya’ani sunne ki sifat) Gheraao kiya huwa hai.
Aur woh har buland awaazi wa past awaazi ko yeksaa taur par bakhubi sunta hain.
Aur pukaarne waala jab tanha eisi ko pukaare toh uski Dua’a qubool bhi farmaata hain.
Allah woh hai ke jis ki Nigah ne Kaaynaat ki Poshidah aur Zaahir tamaam Moujudaat ka gheraao kar rakha hai
Phir Chahe kitni hi chupi ya Zaahir ho, bhale hi woh maqlooq khwaah kitni hi choti ya badi ho.
Allah woh hai ke jo apni Makhlooq ke darmiyaan nihaayat Adal wa insaaf se faisle farmaata hain. Inmein se kisi ek par bhi adna tareen Zulm nahi karta.
Allah hi ne apni kitaab nazil farmaayi taakey woh (kitaab logon ke) darmiyaan faisla kun ho.
Allah hi Haqeeqi Baadshah hain ke jo apne tama’m baato aur kaamo mein Adal wa Insaaf karne wala Shehnshah hai.
Allah woh hai ke jo apni banayi Kaynaat ki tamaa’m makhloqaat ki sabhi baarikiyon ko ba-khubi jaanne wala hai. Logon se chupa huwa koi bhi muamlaa Allah se chupa huwa nahi hai.
Apne bando ko aise ghair mehsoos aur Chupa huwa jarye se khair wa bhalaayi aur munafa (yaani faide ki) cheezen in tak pohnchata hain jaha se bando ko (in ke milne ka) gumaan bhi nahi hota.
Allah woh hai ke jo apni saari makhlooq se har tarah se ba-khabar hai, koi ek zarrah bhi aisa nahi jo Allah ke ilm se bahar ho.
Allah woh hai ke jo apne bando ko sazaa dene ki kudrat rakhne ke ba-wajood inhein inki Nafarmaaniyon par jaldi Sazaa nahi deta.
Balke in se darguzar farmaata hai aur bando ke mua’afi maangne par inhein mua’af bhi kar deta hai.
Allah woh hai ke jo apni ba-barkat zaat, khoobsurat naamo, aur buland sifaat mein mutlaq azmath wa badaayi wa tareefon ka maalik hai isi liye Allah ne makhlooq par ye farz kiya hai ke woh Allah ki khoob ta’zeem wa takreem kiya kare.
Aur Allah ke har amr(ya’ani woh kaam aur baatein jinko apnaane ka Allah ne hukum diya hai) apnaane ki aur nahi (ya’ani woh kaam aur baatein jinse bachne ka Allah ne hukum diya hai) bachne ki paabandi karen.
Allah woh hai ke jo apne bandey ke Gunah par pardah daal kar usey apni doosri makhlooq se chupaane wala hai
Aur ise ruswaayi se bachaane wala aur isey jald hi iske Gunah par Sazaa na dene wala hai.
Allah woh hai ke jo apne imaandaar bando ke thode Aamaal-e-saleha ko(ajar wa sawaab mein) bahut badhaa dete hain, aur unka badla doogna ataa karta hain.
Allah ki Sifaat-e-Shakooriyat( ya’ani kadardaani) ye hai ke woh bandey ko apni Shukr guzaari par saabit kadam rakhne wala aur uski ita’at ko qubool karne wala hai.
Allah woh hai ke jo apni zaat ke aitebaar se tamaam makhlokaat se buland tar hai (is tarah ke woh saato aasmaano ke oopar apne arsh par mustawi hai) aur apne khoobsurat naamo aur buland sifaat ke aitebaar se bhi buland har ek se buland tareen hain.
Har cheez Allah ki taaqat aur iqtedaar ke matehat hai, aur khud Allah par kisi bhi makhlooq ka koi iqtedaar aur ghalbaa nahi hai, Chahe Allah ki taraf se bheje huwe koi nabi ho, ya koi muqarrib farishta ho, ya koi wali ho.
Allah woh hai ke jo apni ba-barkat zaat aur buland ausaaf aur be-misaal af’aal mein sab se bada hai.
Allah se badi koi cheez nahi balke Allah ke siwa har cheez Allah ke jalaal aur Azmath ke saamne nihaayat choti aur past hai.
Allah woh hai ke jo apne fazal aur Ehsaan se apne imaandaar bando aur bandiyon ke Amaal-e-saleha ki hifaazat farmaata hai, woh apni kudarat se tamaam makhlooq ki hifaazat wa ri’ayat farmata hai.
Allah woh hai ke jinhone tamaam tar Roziyaan aur Zindagi guzaarne ke asbaab paida farmaa kar inhein bando tak pahunchaane ki khud hi akele zimmedaari leli.
Woh bando ko Quwwat wa Taaqat pohnchaane waali cheezon ke nez inke neik amaal ke muhaafiz wa nigraan hai.
Allah woh hai ke jo apne bando ki tamaam deeni aur dunyawi zarooraton ko poora karne wala hai.
Aur qusoosan momino ke liye (iski deeni wa dunyawi) zarooraton ko poora karne ke liye (waafir miqdaar mein) inhein kifaayat karne waali nematein ataa karne wala hai
Aur khud akele Allah hi Baroz-e-Qayaamat apne tamaam bando se unke (neik aur bad a’maal) ka hisaab lene wala hai.
Allah woh hai ke iski shaan badi oonchi aur niraali hai.
Allah woh hai ke jo bahut zyaada khair aur azeem ehsaan ataa karne wala, jise jo chaahe, jaise chaahe, maange aur bin maange ataa karne wala hai.
Aur(Gunahgaron ko) apne gunaahon ki muafi maangne par muaf karne wala aur inke aibo par pardah daal kar inhein chupaa dene wala hai.
Allah woh hai ke jo apni tamaam makhlooq ki har poshidaa wa zaahir baat se har tarah baa-khabar aur inke amaal ko gin gin kar rakhne wala hai.
Bando ki aankh ke jhapakne se pehle Allah ko iske jhapakne ka ilm hai, bando ke dilon ke khayaalaat tak ke woh paida karne wala hai.
Allah woh hai ke jo pukaarne waalon ki pukaar ko sunta hai aur apne ilm wa hikmat ke mutaabiq maangne waalon ki haajat baraari karne wala hai.
Benefit Jab aap ko kisi madad ki sakht zaroorat ho, pareshan ya mushkil mein hon, to Al-Mujeeb ko pukaro.
Hadees Reference:
Nabi ﷺ ne farmaya, "Tumhara Rab Bohat Haya wala aur Kareem hai. ALLAH ko is baat se Haya aati hai ke Uska Banda uske samney apne dono hath phailaye, phir Wo usko khali hath louta de."
Allah woh hai ke jiski sifaat bahut zyaada hain, kisi bhi makhlooq ke bas ki ye baat nahi ke woh Allah ki kamahaqquh taareef kar sake.
Allah ki azmat wa saltanat sab par wasi hai.
Allah ki maghfirat wa rehmat aur fazal wa Ehsaan bahut aam hai.
Allah woh hai ke jo tamaam makhloqaat ko inki layaq jagah par rakhne wala hai.
Aur Allah ki tadbeer mein kisi qism ki khalal aur kamzori nahi hoti.
Allah woh hai ke jo apne pasandeeda farmaabardaar bando(ya’ni auliyaa) se mohabbat wa ta’alluq ka izhaar(inhein muaf kar ke aur in par inaam karke) karne wala hai, phir inse raazi hone wala hai.
Aur inke Amaal-e-saleha ko qubool karne wala hai, aur zameen mein inhein apne doosre bando ke nazdeek pasand’deeda banaa dene wala hai.
Allah woh hai ke jiske layaq zameen wa aasmaan ka har faqar wa izzat aur rafa’at hai.
Allah woh hai ke jo ba-roze qayaamat tamaam bando ko iski qabron se uthaa kar Maidaane Hashr mein Jazaa wa Sazaa ke liye jamaa karne wala hai.
Allah woh hai ke jo apni makhlooq Par nigraan aur inke amaal par akele hi Gawah hai.
isne khud hi apni zaat-e- baa-barkat ke yakta aur be-misaal hone nez apne kamaal-e-‘adl wa hikmat ki gawaahi di hai.
Nez Allah Ta’ala momino ki sadaaqat ki gawaahi bhi deta hai, (is surat jabke) bande Allah ki wahdaaniyath ka iqraar kare aur Allah ke rasoolon aur farishton par nez iski naazil karda kitaabon par aur yaum-e-aakhirat ke yaqeenan barpa hokar rehne par aur achchyi aur buri taqdeer par emaan rakhein.
Allah toh woh hai ke jis ki baa-barkat zaat, khoobsurat asma wa buland sifaat aur ma’bood-e-yakta hone me koi shak aur shuba tarddud nahi hai.
Wahi Allah saccha ma’bood hai aur iske siwaa doosre jitne bhi ma’bood hain woh tamaam ma’boodaan-e-baatila hai jo dar haqeeqat jaahil mushrikon ke apne khud saaqta wa taraashidah hai.
Allah woh hai ke jis ne akele hi tamaam jahaanon ki paidaaish aur inki tadbeer ki zimmedaari li hai. Allah hi par tamaam makhlooq ka bharosa aur etamaad hai.
Woh akele hi tamaam ahle emaan ke behtareen kaarsaaz hai, woh imaandaar(bande) ke jinhon ne Allah ki taufeeq se apne tamaam tar mu’amlaat Allah ke hawaale kar diya.
Har kaam ki anjaam dahi par Allah se madad talab karte rahe, Allah ki taufeeq milne par Allah ka shukr adaa kiya, aur aazmaaish aur museebat ke baad (Allah ki likhi taqdeer par) razaa-mandi ka izhaar karke Allah ke faisle se khush ho gaye.
Allah woh Zaat-e-ba-barkat hai ke jise Kamal-e-darje ki mashiyat ke saath saath qudrat mutlaq bhi haasil hai.
Allah woh Zaat e ba-barkat hai ke jo apni Qudrat wa Quwwat mein be-misaal aur zabardast hai.
Allah Ta'ala ko apni shaan ke layaq kisi bhi kaam mein na koi dushwaari hoti hai, na takleef hoti hai, na iktaahat hoti hai aur na hi thakaawat aati hai.
Allah woh hai ke jo apni makhlooq ke tamaam kaamo ke khud akela hi nigraan hai, aur kul kaaenaat ki akela hi tadbeer karne wala hai, woh apne auliyaa ke madad’gaar aur unke pusht panah hai.
Allah woh hai ke jo apne tamaam khoobsurat asma wa buland sifaat aur umdah af’al mein mehmood(khaabil-e-tareef) hai.
Allah hi ki aali shaan zaat hai ke jiski aasaani aur tangi nez saqti aur aazmaaesh mein khoob tareefein ki jaati hai.
Har tarah ki taareefein ishi ke layaq hai aur wahi in tareefon ke akela mustahiq bhi hai, kyon ke woh har kamaal ke saath mutassif hai.
Allah woh hai ke jo har cheez ko apne ilm se gher lene wala hai, kayenaat mein koi ek cheez bhi Allah se posheedah nahi hai.
Allah woh hai ke jo baghair kisi misaal ke kayenaat ki har cheez ko Adam se wajood mein le aane wala hai.
Allah woh hai ke jo tamaam Murdon ko Baroz-e-Qayamat unki Qabron se uthaa khadaa karenga.
Allah woh hai ke jo makhloqaat ko maut dene ke baad inhein zinda karne wala hai.
Allah woh hai ke jo zindon ko maut dene wale hai.
Allah woh hai ke jo khud ek zinda zaat hai, aur har ek ko zindagi ataa karne wala hai (aur Allah woh hai ke jise kabhi maut nahi aane waali)
Allah woh hai ke khud Qaayim hain aur apni tamaam makhlooq ko thaamne wala hai.
Allah woh hai ke jise kisi bhi cheez ki haajat nahi. jab ke kayenaat mein maujood har cheez Allah ki mohtaaj hai.
Allah woh hai jo har tarah ki layaq tareef buzroogi ke mustahiq hai.
Allah woh hai ke jo apne tamaam kamalaat mein munfard(ya’ni niraala aur be-misaal) aur yakta hai, aur inme iska koi shareek nahi aur na iski masl wa nazeer hai.
Is'se ye laazim thairta hai ke sirf akele Allah hi ki bandagi wa ibaadat ki jaaye aur iske saath kisi bhi makhlooq ko iska shareek na thairaaya jaaye.
Allah woh hai ke jo akela tha aur humesha rahega. Unse tamam khoobsurat sifaat mein koi bhi uske barabar nahi ho sakta.
Allah woh hai ke jo apni sardaari aur buzroogi mein kamaal darje par faayez hai aur makhlooq apni shadeed zaroorat mandi ki wajah se apni zarooraton ke liye Allah hi ki taraf lapakti hai.
Allah ki shaan toh ye hai ke woh sab ko khilaata, pilaata aur inhein apni roziyon se nawaazta hai, jabki khud (Allah ko) khaane peene ki koi haajat nahi.
Allah woh hai ke jo apni tamaam makhlooq par poori Kudrat rakhne wala hai zameen wa aasmaan ki koi cheez Allah ko aajiz wa bebas nahi kar sakti, woh har cheez ki taqdeer likhne wala hai.
Allah ka ye ek aisa naam hain Jo Allah ta’ala ki kudrat ke kamaal aur intehaa par dalaalat karta hai ke woh Allah apne ilm-e-sabiq ke mutabiq apne faisle nafiz karne aur taqleeq karne (ya’ni paida karne Par) kaamil Qudrat rakhta hai.
Allah woh hai ke jo apni hikmat (ya’ni danaayi) wa mashiyat (apni chaahat) ke mutabiq apne bando mein se jise chahata hai aage karte hai, aur inhein inki munasib jagah par rakhta hai, aur apne ilm wa fazal ke mutabiq makhloqaat ko ek doosre par muqaddam karne wala hai.
Allah woh hai ke jo tamaam makhloqaat ko apni apni haisiyat mein rakhta hai aur apni hikmat ke mutaabiq jisko chahata hai peeche kar deta hai.
Aur bando se azaab ko mu’akh-khir karta hai(ya’ni apne azaab ko taal deta hai) taake bande taubah wa isteghfaar mein jaldi kare.
Allah woh hai ke jis se pehle koi cheez nahi thi balke tamaam makhloqaat toh Allah ke inhein paida karne ke baad wajood mein aayi.
Aur jahan tak Allah ki zaat-e-‘alaa ka Ta’alluq hai toh Allah ki koi ibteda nahi balke Allah toh azal se hai(ya’ni humesha se hai aur humesha rahenga)
Allah woh hai ke jis ke baad kuch nahi, Woh akela Allah hi baaqi rehne wala hai, aur woh zameen par maujood har cheez ko khatam karne waala hai aur phir bil-aakhir har ek Allah hi ki taraf laut kar jaane waale hain.
Allah(ﷻ) ke wajood ki koi intehaa nahi(ya’ni dunia mein apni makhloqaat se pardo ke pare sab se khud ko makhfi wa posheeda rakhta ke bandey isko nooraani wa khoobsurat chehre ko dekhne ke shauq mein umr bhar ishi ki ibaadat karte rahen(kyun ke tamaam bando ki ibaadaton ki ghaaet wa maqsad-e-haqeeqi Allah ke chehre ka deedar hi toh hai.
Allah hum sabko apne chehre ka deedar aur iski lazzat neseeb farmaaye (Ameen)
Allah woh hai jo bazaat-e-khud har cheez ke oopar bulandi par(apne arsh par mustawi) hai, aur Allah ki koi ek makhlooq bhi Allah se buland nahi, woh har cheez par ghaalib hai, aur usey apne (ilm se) ghera huwa hai.
Allah woh hai ke jo jis se posheeda tar koi nahi(ya’ni Allah ne apne nooraani hijaab mein khud ko makhlooq se posheeda rakha).
Woh apne (ilm se) har ek se khareeb hai, aur har cheez ka(apne ilm se) gheraaw kiye huwe hai.
Lekin woh dunia waalon se(apne pardon ke) peeche posheeda hai, (aur apne ibaadat guzaron bando ko ba-roze Qiyamat apne khoobsurat nooraani chehre ke deedaar se musharaf farmayega.)
Allah Maalik-e-do jahaan aur har cheez ko iske anjaam kaar tak pahunchaane ka zimma lene wala.
Allah woh hai ke jis ke ‘uloo(ya’ni bulandi) ke saamne har makhlooq zaleel wa past hai, aur Allah se oopar koi cheez nahi balke har cheez isey neeche aur is ke ghalbe aur iqtedaar ke saamne nihaayat haqeer wa mamooli hai.
Allah woh hai ke jo apni makhlooq par behad wa be-hisaab Ahsaanaat karne wala hai, woh is qadar nawaazta hai ke koi Allah ki tam’am ne’maton ko gin'ne ya shumaar karne ki bhi isteta’t nahi rakhta.
Woh apne waade ka saccha hai, apne bando se dar-guzar farmata hai, aur inki nusrat wa himaayat karta hai, aur bando se inki ma’mooli aur choti nekiyon ko qubool farmata hai aur iske ajar wa sawaab ko badhata hai.
Allah woh hai ke jo apne bando mein se jis ko chahe taubah ki taufeeq de kar inse inki taubah ko Qubool farmata hai.
Allah woh hai ke jo apne Mujreem bando se akela hi inteqaam lene wala hai.
Allah woh hai ke jo apne bando ke Gunaahon ko mitaata hai aur inse dar-guzar farmata hai, aur inhein(gunah par ek dam sazaa nahi deta) halanke banda sazaa ka mustahiq thair chuka hota hai.
Yeh Allah ka aisa naam hai jo (sifat-e-raifat se maqooz hai) (ya’ni ye Allah ki shafaqat aur narmi) par dalaalat karne waali sifat se hai.
(Allah ki is sifat ka darja) Allah ki is rehmat se bhi badh kar hai.
Duniya mein Allah ta'ala tamaa’m makhloqaat par ra’oof hain aur aakhirat mein apne khaas bando ya’ni(imaan waalon ke liye) ra’oof hoga.
Allah woh hai ke jo dunia aur aakhirat mein haqeeqi farmaan-rawaa aur zi-shaan insaaf parwar badshah hai aur wahi akela badeshahat ka mustahiq bhi hai, kyunke makhlooq ki paidaesh ke aaghaaz mein badshahat ishi ki thi aur iske siwa koi nahi tha.
Aur jab makhlooq khatam hogi tab bhi badeshahat Allah hi ki hogi kisi kaam se rokne ya kisi kaam se mana karne ka haqq Allah hi ko hai.
Woh apne hukum aur fayl mein makhloqaat mein apni hikmat wa Adl ke mutaabiq faisle karne wala hai, saltanat ko chalaane mein aur apni makhlooq ka khoob khayaal rakh ne mein Allah jaisa koi nahi.
Allah woh hai ke jis me Azmat wa badaayi ki tama’m sifaat ba-darje awwal maujood hai, ke Allah ka ilm kaamil aur har cheez ko shaamil hai, har cheez par ghaalib, har ek se badh kar khuwat wala, buzurgi wala hai. Apne bando mein se jise chahta hai behad wa be-hisaab ataa karne wala hai.
Aur iske khazaanon mein ba-wajood is fayaazi aur ataa ke kuch bhi kami nahi aati, apne imaandaar bando ke aibo ki parda poshi karne wala hai, inhe unki nekiyon ke bharpoor badla dene wala hai aur apne na-farmaan bando ko mohlat deta hai aur apne Adl se inka muhaaseba karne wala hai.
Allah woh hai ke jo apni har baat aur har kaam mein kamaal-e-darje ka insaaf karne wala hai.
Allah woh hain ke jo apni saari makhlooq ko fanaa karne ke baad inhein ba-roze qayaamat jamaa karne wala hai.
Allah woh hai ke jo apni kamaal-e-sifaat aur kamaal-e-mutlaq ki wajah se kabhi kisi ka mohtaaj nahi raha aur na kabhi mohtaaj honga,(woh har ek se be-niyaaz hai) aur tamaa’m makhloqaat Allah ki mohtaaj hai aur Allah ke inaam wa ikraam aur madad wa nusrat ki har lamhe zaroorat mand hai.
Allah woh hai ke jise chahe apni makhlooq mein se be-parwah kar dene aur apne zikr se ise itminaan wa sukoon ataa karne wala hai.
Allah woh hai ke jo apni makhlooq mein se jis se chahta hai apne khazaanon mein se apni nawaazishon ko rok leta hai.
Allah woh hai ke jo apni makhlooq mein se jise chahe zarar pohncha kar ise aazmaata hai.
Allah woh hai ke jo apne bando mein se jise chahe nafaa dekar ise aazmaate hai.
Allah woh hai ke jo khud nooraani chehre wala hai aur apne noor se har gumrah ko raah dikhaane wala, aur zameen wa aasmaan ka noor paida karne wala hai.
Allah woh hai ke jo apne bando mein se jise chahe neik aur seedhi raah ki taraf rehnumaayi karne wala aur manzil-e-maqsood tak inhein pohnchaane wala hai.
Allah woh hai ke jo khud be-misaal hain aur apni tama’m tar makhlooq ko apne ilm wa khudrat ke mutaabiq baghair kisi namoone aur misaal ke paida karne wala hai.
Allah woh hai ke jo humeshaa baaqi rehne wala hai, kabhi khatam na hoga aur apni makhlooq mein se jise chahe baaqi rakhne wala hai.
Allah woh hai ke jo apni makhlooq ko fanaa karne ke baad bhi baaqi rehne wala hai, aur har fanaa hone waali makhlooq ko Allah hi ke saamne pesh hona hai.
Allah ne bando ko jo kuch diya hai woh Allah ki supurd-kardah amanatein hai jinke baabat Allah baazpurs farmane wala hai.
Allah woh hai ke jo apne bando mein se jise chahata hai seedhi raah ki rehnumaayi karta hai.
Allah woh hai ke jo apne na-farmaan bando ki na-farmaaniyon par kamaal darje ka sabar karne wala hai, inhein jald hi inke gunaahon par azaab nahi deta balke inhe mohlat deta hai ke apni na-farmaaniyon aur bad-amaliyon se baaz aakar Allah se taubah wa isteghfaar karne mein jaldi kare.
Imaan ka pehla rukn (imaan ka sutoon) Islam mein Allah par imaan lana hai. Musalman hone ke nate, hum Allah par uske khoobsurat Naamon aur Sifaat ke mutabiq imaan rakhte hain.
Allah ne apne naam baar baar Quran-e-Paak mein is liye zaahir kiye hain taake hum samajh saken ke Woh kaun hai. Allah ke naam seekhna aur yaad karna humein sahi tareeqe se us par imaan lanay mein madad karta hai.
Allah ke naam ko samajhne aur un par amal karne se zyada muqaddas aur barkat wala amal kuch nahi hai. Hum apne Rabb, Qadir-e-Mutlaq Allah ki kaise ibadat kar sakte hain, mohabbat kar sakte hain, us se dar sakte hain aur us par bharosa kar sakte hain agar humein pata hi na ho ke Woh kaun hai?
Allah Quran mein farmata hai:
Aur Allah ke sabse achche naam hain, to unhein unhi ke zariye pukaro.
Allah - uske siwa koi maabood nahi. Uske liye sabse achche naam hain.
Woh Allah hi hai, jo paida karne wala, ijad karne wala, surat banane wala hai; usi ke liye sabse achche naam hain.
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya,
“Allah ke ninyaanwe naam hain, yani ek kum sau, aur jo inhein jaane, wo Jannat mein jayega."
Abu Huraira ne Allah ke Rasool (ﷺ) se riwayat ki:
“Allah ke 99 naam hain; jo inhein yaad kar le, wo Jannat mein jayega. Beshak, Allah Taala Witr hai (Woh ek hai, aur woh ek odd number hai) aur usey odd number pasand hain.”