♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ki,
“Apne Dilon Ko Zyada Khaane-Peene Se Halaak Na Karo, Jis Tarah Zyada Paani Se Kheti Tabaah Ho Jati Hai, Usi Tarah Zyada Khaane-Peene Se Dil Halaak Ho Jaata Hai..”
– (Mukashifatul Quloob Page#55)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ki,
“Allah Ta’ala Ko Tum Me Se Ziyada Woh Banda Pasand Hai Jo Kum Khaane Wala Aur Halke Badanwala Ho..”
– (Jaam-e-Sagir Safa:20 Hadees:221)
♥ Qaul-e-Mubarak: Umare Farooq (RaziAllahu Anhu) Farmate Hai,
“Apne Aap Ko Pait Bhar Kar Khaane Se Bachaao, Ki Yeh Zindagi Me Bojh aur Mout Ke Waqt Badboo Hai…”
– (Ihyaul Uloom Jild:3, Safa:90)