♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Ibn Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne,
“Zakat-Ul-Fitr Ko Bekar Aur Behuda Baat Se Rozey Ko Paak Karney Aur Miskeeno Ki Parwarish Ke Liye Muqarar Farmaya Hai,
Jo Shakhs Eid Ki Namaz Se Pahley Isey Ada Karega Wo Zakat Ki Tarah Qubool Kiya Jayega
Aur Agar Koi Namaz Ke Baad Ada Karega Tou Wo Dusrey Sadqey Ki Tarah Ek Sadqa Hoga”.
– (Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1596 – Hasan)
» Wajahat: Zakaat-Ul-Fitr Ko Rozey Ko Paak Karney Aur Miskeeno Ki Parwarishke Liye Muqarar Farmya Gaya Hai.