Zakaat Ka Ilm Sikho …..

» Income Par Zakaat:
Kiraye Par Chalne Wali Gaadiyo Par Zakat Wajib Na Hogi, Ha! Unki Aamdani Par Farz Hogi
(Fatwa Faqihe Millat, Kitabuz Zkat), Jild-1 , Page No-306

» Zakat Dene Walo Se Arz:
Qaum Se Garibi Kam Karni Hai Tou Itna Zarur Kare,
> Zakat Ka Ilm Sikho
> Pahle Karibi Rishtedaro Ko De
(Agar Mustahiq Hai Toh)

» Apni Zakat Karibi Mustahiq Rishtedaro Ko Dijiye
Uske Baad Islami Madarso Ko Dekar Beshumar Nek Kaamo Me Madad Kijiye Ise Aam Kare.

» Kis Ko Zakat Dena Afzal Hai?:
“Agar Bahan Bhai Garib Ho Tou Pahle Voh Fir Chacha
Aur Fufiya Fir Mamuo Aur Khalae Aur Unki Aulaad”.
(Fatawa Hindiya, Kitabuz Zkat Page No-190)

» Bank Balance Par Zakat:
Bank Me Jama Rakam Par Bhi Zakaat Hai Magar Jab Nisab Ka
Kam-Az-Kam 5va Hissa Mil Jaye Tab Bhi Ada Kar Skte Hai,
(Maakhuz Azftawa Amjadiyya Kitabuz Zkat Jild-1, Page No-368)

» Zaahir Kar Do:
“Imaam, Muajjin Aur Har Vo Jinhe Awam Nazraana Deti Hai,
Agar Sahibe Nisab Hai Tou Lete Waqt Bata De Ki Hame Zakat Nahi Sirf Lillah De”.

» Zakat Ka Ilm Sikho:
“Hum Zakaat Tou Dete Hai Magar Afsos Iska Zaruri Ilm Nahi Sikhte
Lihaza Zakaat Ki Mukammal Barkatey Paane Se Mahrum Rah Jate Hai Aam Kare

» Aap Se Jitna Ho Sake Iss Deeni Idareki Madad Karen
Zakat Sadqae Fitr Aurdeegar Atyat De. Taaki Gareeb Bachche Deen Ka Ilm Hasil Kar Saken.

# Mas’ala:
“Tijarti Maal Ki Qimat Lagai Jae, Fir Usse Sone Ya Chandi Ka Nisab Pura Ho
Tou Uske Hisab Se Zakaat Nikali Jae”.
(Fatawa Alamgiri, J:1, P:168)

!!! Apne Maal Ki Zakat Jald Se Jald Adaa Kardey !
Yaad Rahe Jis Maal Ki Zakat Na Di Jae Wo Maal
Jahannam Ki Aag Me Garm Karke Usse Uske Jism Ko Daaga Jaega !!!

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: