Zakaat Ka Bayan Quraan Aur Hadees Ki Roushni Me !! …

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Qayamat Ke Din Tum Me Se Kisi Ka Khajana Chitqabra Azdaha (A Kind Of Python) Ban Kar Aayega,
– Uska Malik Uss Sey Bhagega Lekin Wo Usey Talash Kar Raha Hoga
– Aur Kahega “Mai Tumhara Khazana Hu”.
*Farmaya – “Wallah! Wo Musalsal(Continue) Talaash Karta Rahega
– Yahan Tak Ki Wo Shakhs Apna Haath Phaila Dega Aur Azdaha(Saanp) Usey Luqma Banayega”.
(Sahih Bukhari,Volume 9, Book 86, Number 89)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
“Jisey Allah Ne Maal Diya Aur Usney Uski Zakaat Ada Nahi Ki
Tou Qayamat Ke Din Uska Maal Nihayat Zahreeley Ganjey Saanp Ki Shakal Ikhtriyar Kar Lega.
– Uski Aankhon Ke Pass Do Siyah(Black) Nuqtey Hongey Jaisey Saanp Ke Hotey Hain
– Phir Wo Saanp Uskey Dono Jabdo Se Usey Pakad Lega Aur Kahega Ki Main Tera Maal Aur Khazana Hun”.
(Sahih Bukhari, Vol 2, Book 24, No. 486)

Phir Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Yeh Ayat Tilawat Farmayi…
♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Jinhey Allah Ta’ala Ne Apney Fazal Se Kuch Dey Rakha Hai
Woh Iss Me Apni Kanjoosi Ko Apney Liye Behtar Khayal Na Kere
Balki Woh InKe Liye Nihayat Bad’Tar Hai Anqarib Qayamat Walay Din
Yeh Apni Kanjoosi Ki Cheez Ke Toq Daaley Jayenge
Aasmanon Aur Zameen Ki Meeras Allah Ta’ala Hi Ke Liye
Aur Jo Kuch Tum Ker Rahey Ho Uss Se Allah Ta’ala Aagah Hai.
(Surah Aal-e-Imran Ayat: 180)

5/5 - (3 votes)

Leave a Reply

Related Posts: