♥ Mafhoom-e-Hadees: Riwayat Hai Hazrate Safwan Ibne As’aal Se Farmate Hai Ke,
Ek Yahudi Apne Sathi Se Bola Ke Mujhe Inn Nabi Ke Pass Le Chal,
Sathi Bola Ke Inhe Nabi Na Kaho Agar Wo Sun Lenge Tou Inn Ki 4 Aakhein Hojayengi.
Phir Wo Dono Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Khidmat Me Hazir Hue
Aur Inho Ne Khuli Nishaniyao Ke Bare Me Pucha,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke –
• Kisi Cheez Ko Allah Ka Shareek Na Thehrao,
• Na Chori Karo Na Zinaa Karo,
• Na NaaHaq Kisi Mohtaram Jaan Ko Qatl Karo,
• Na Kisi Be-Kasoor Ko Haakim Ke Pass Le Jao Taake Isye Qatl Karde,
• Aur Na Jaadu Karo,
• Na Sood Khao,
• Na Hee Paak Daaman Ko Zinaa Ka Bohtan Lagao,
• Aur Na Jihaad Ke Din Bhaagne Ke Liye Peeth Phero”
• Aur Aye Yahudiyo! Tum Per Khususan Ye Bhi Laazim Hai Ke Hafte Ke Bare Me Hadd Se Na Bado.
Raawi Farmate Hai Ke Tab In Dono Ne Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke
Hath-Pao Chuhe Aur Bole Ke Hum Gawaah Hai Ke Aap Sache Nabi Hai,
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmaya – “Phir Tumhe Meri Pairwi Se Kaunsi Cheez Rokti Hai ?”
Wo Boley Ke – “Dawood (Alaihay Salam) Ne Rab Se Dua Ki Thi Ke In Ki Aulaad Me Naboowat Hai”,
Hame Darr Hai Ke Agar Hum Aap Ki Pairwi Karle Tou Hum Ko Yahoodi Maar Dalenge.
– (Tirmizi, Abu’dawood Wa Nisai, Miratul Manaji Jild 1, Safa 82, 83)