۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Table of Contents
Roman Urdu
۞ Apne maa baap ko uff bhi na kaho
Aur tumharey Rab ne farmaya hai ki uskey siwa kisi ki ibadat na karo aur Maa baap (parents) ke Saath Bhalaii (neki) kartey raho aur agar tumharey samney unmein se ek ya dono budhapey ko pahunch jaye to unhey UFF bhi na kaho aur na unhey jhidako aur unsey Adab se baat karo aur unkey samney Shafqat se Aajazi ke saath jhukey raho aur kaho ki Aye Mere Rab jaisey unhoney (mere maan baap ne) mujhe Bachpan se paala hai isi tarah tu bhi un par reham farma”
📕 Surah Al-Isra 17:23-24
✦ Hadith: Abu Abdur-Rahman As-Sulami Rivayat kartey hain Abu Darda (R.A) se ki unhoney kaha RasoolAllah (ﷺ) ne faramaya “Walid (father) jannat ka darmiyana (beech ka) darwaza hai, isliye teri marzi usey zaya kar ya mehfooz rakh.”
📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1959-Hasan
✦ Hadith: Abdullah ibn Umar (R.A) se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Allah Subhanahu ki Raza walid (ya Walidain) ki khushi mein hai aur Allah Subhanahu ka Gussa Walid (ya waldain) ki narazgi mein hai”
📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1960-Hasan
✦ Hadith: Anas (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) se badey (kabira) Gunahon ke baarey mein pucha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya:
(1) Allah ke saath kisi ko Sharik karna, (2) Waaldein ki nafarmani karna, (3) Kisi ki Nahaq jaan lena , (4) aur Jhooti Gawahi dena. (ye sab Kabira Gunah hain)
हिंदी तर्जुमा
۞ अपने माँ बाप को उफ्फ तक न कहो:
“और तुम्हारे रब ने फ़रमाया है की उसके सिवा किसी की ईबादत ना करो और अपने माँ बाप के साथ भलाई करते रहो और अगर तुम्हारे सामने उनमें से एक या दोनों बुढ़ापे को पहुँच जाये तो उन्हे उफ़ भी न कहो और ना उन्हें झिड़को और उनसे अदब से बात करो और उनके सामने शफ़कत से आजज़ी के साथ झुके रहो और कहो की एह मेरे रब जैसे उन्होंने मुझे बचपन से पाला है इसी तरह तू भी उन पर रहम फरमा।”
✦ हदीस : रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया वालिद (father) जन्नत का दरमियाना(बीच का) दरवाज़ा है इसलिए तेरी मर्ज़ी उसे जाया कर या मेहफ़ूज़ रख।
📕 जामिया तिरमिज़ी, जिल्द 1, 1959-हसन
✦ हदीस : रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया अल्लाह सुब्हानहु की रजा वालिद (या वालिदैन) की ख़ुशी में है और अल्लाह सुब्हानहु का गुस्सा वालिद (या वालिदैन) की नाराज़गी में है।
📕 जामिया तिरमिज़ी, जिल्द 1, 1960-हसन
✦ हदीस: रसूलअल्लाह (ﷺ) से बड़े (कबीरा) गुनाहों के बारे में पूछा गया तो आप (ﷺ) ने फ़रमाया :
(1) अल्लाह के साथ किसी को शरीक करना, (2) वालिदैन (माँ बाप) की नाफरमानी करना, (3) किसी की नाहक़ जान लेना, (4) और झूठी गवाही देना (ये सब कबीरा गुनाह हैं)
# More Links
Agar mabap mentally bht torcher krte h aur bht badtamizi hojae humse to kya krna
Tho bhi bardash karna chaiye. Tum bachpan mein unllog ku kitna sitai tumhe hosh nahi tha woh log raat raat bhar jaag ke tumhe sulatey thy ehsan yaad karn…Hum aaj Bardash nahi karty….Agar unlog gaalt hai tho Allah unse sawal Jawab karega tum faisla math Bas neki karo unke sath Hatta ke tumhe ghar se nekal diya jaye woh karenge nahi waisa….Sirf Maa baap ki baat jab nahi sunna hai agar woh shrik karne ke liye Majboor kiye jaye tho.. Allah ke khatir…
CHUP RAHNA CHAHIYE KIYA AGAR AAP BACHPAN SE PAGAL HOTE TO AAPKO MAA BAAP NAHI PALTE KIYA AAPKO