Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ?

Hadees of the Day

Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ?

Hazrate Abu Umama (R.A) riwayat karte hain ki,
Ek aadami aaya aur uss ne arz kiya:

Ya RasoolAllah (ﷺ)! Waliden ka apni Aulaad par kitna haq hai ?

Aap (ﷺ) ne farmaya –

“Woh (Maa-Baap) donon teri jannat hain aur dozakh.”

(yaani unki khidmat kar ke jannat haasil kar lo ya nafarmaani kar ke dozakh ke mustahiq ho jawo).

📕 Ibn Majah As-Sunan, 02/1208, Raqam-3662,
📕 Mundhiri at-targhib wat-tarhib,03/216, raqam-3749

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!

Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufiq dey,
Hum tamam ko apne waliden ka farmabardar ban’ne ki taufiq ata farmaye.
jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhey,
khatma humara imaan par ho.

!!! Wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!

Leave a Reply