♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aye Emaan Walo! Tum Par Roze Farz Kiye Gaye Jaise Tumsey Pichli Ummato Par Farz Kiye They Taake Kahi Tum Allah Ka Taqwa (Darr) Ikhtiyar Karo.”
– (Surah Baqra, Ayat:183)
… Tou *Taqwa Roze Ke Maksad Hai,.. *Taqwa Ramzan Ka Maksad Hai ,.. *Taqwa Roze Ka Paigaam Hai ,.. *Taqwa Ramzan Ka Paigaam Hai ,..
Aur Allah Rabbul Izzat Ne Baar-Baar Iss Paigaam Ko Dohraaya –
“Aye Wo Logo Jo Imaan Laye Ho Taqwa(Parhezgaari) Ikhiyar Karo” Aur Ye Aayat Quraan Me Baar–Baar Repeat Hui Hai ,..
….Tou Gour Karne Waali Baat Hai Ke Taqwa Yaani Allah Ka Darr Jo Ki Bohot Hi Ahmiyat Waali Baat Hai Jiska Paigam Hume Diya Gaya,..
• Isiliye Kyunki:
*Allah Ka Darr Jab Insan Me Aa Jata Hai Tou Insan Haram Aur Halal Ki Tamiz Karne Lagta Hai ,..
*Deeno Shariyat Aur Duniyawi Fizul Kaamo Me Fark Karne Lagta Hai ,.. *Duniya Par Aakhirat Ko Tarji Deney Lagta Hai,,.. *Dhokeybazi , Jhuth Aur Tamam Buiri Khaslato Se Ahtiyat Karta Hai ,..