♥ Mafhoom-e-Hadees: Taqdeer Par Emaan Rakhna Farz Hae, Iss Ke Bare Me Ziyada Bahes Aur Ghour-O-Fikr Karne Se Sahaba-e-Kiram Ko Bhi Manaa Farma Diya Gaya Tha, Iss Ke Bare Me Ziyada Bahes Karna Halakat Ka Sabab Hai.
– (Tirmizi Hadith no.2133 Baab:Maa Ja’a Fi Ttashdeed Fil-Khoudi Fil Qadr)
» Duniya Me Jo Kuchh Bhalayi Ya Burayi Hone Wali Thi, Un Tamam Ko Allah Ta’ala Azal Se Hi Janta Hae. Aur Us Ne Apne Ilm Ke Muwafiq Un Tamam Baton Ko Likh Diya Hai. Jo Shakhs Jaisa Karne Wala Tha, Allah Ta’ala Ne Uski Taqdeer Me Wahi Likha, Ye Nahi Ke…. Allah Ta’ala Ne Jaisa Likh Diya Ab Bande Ko Majbooran Waisa Hi Karna Padega.
» Buraa Kaam Karke Taaqdeer Ki Taraf Mansoob Kar Dena, Yaa Ye Kehna Ke Allah Ne Aisa Hi Chaha Tou Mai Ne Aisa Kardiya, Ye Bahut Hi Buri Baat Hai. Balke Hukm Ye Hai Ke Nek Kaamon Ko Taqdeer Ki Taraf Mansoob Kare, Aur Burey Kaam Ko Apne Nafs Ki Shararat Samjhe.
» Taqdeer (Qaza) Ki Teen Qismen Bayan Ki Gai Hai. @[156344474474186:]
∗ 1). Qaza-e-Mubram – Ye Atal Faisla Hota Hai, Kisi Bhi Tarah Nahi Badalta. Jab Khas Bande Uske Bare Me Kuchh Sifarish Karna Chahte Hai To Pahle Hi Bata Diya Jata Hai Ke Ye Atal Faisla Hai, Iss Muamle Ko Chhor Do. Jaise Ke Allah Tala Ibrahim (Alaihay Salam) Se Farmata Hai,
♥ Al-Quraan: “Aye Ibraheem! Iss Muamle Me Mat Pado, Beshak Tumhare Rab Ka Hukm Aa Chuka, Aur Un(Mushriko) Par Aisa Azaab Aane Wala Hai Jo Phera Nahi Jaega…” – (Surah Hood, Ayat No.76)
∗ 2). Qaza-e-Mu’allaq – Yaani Ye Atal Faisla Nahi Hota, Balke Bande Ki Nekion Aur Koshishon Se Woh Faisla Badal Sakta Hai. Jaisa Ke Ek Hadees Sharif Me Hai.
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Yaani. Har Surat Me Bhalai Hai, Uski Koshish Karo Jo Tumko Faida De. Aor Allah Se Madad Mango, Aajiz Mat Bane Raho…”
– (Muslim Sharif : Hadith no.2664)
∗ 3). Qaza-e-Shibhe Mubram – Yaani! Firishton Ke Kitab Me Tou Usko ‘Mubram’ Likh Diya Jata Hai. Magar! Allah Ta’ala Ke Ilm Me Usko Mua’aalq Ke Darje Me Rakha Jata Hai. Usko Bahut Hee Khas Aur Muqarrab Bandon Ki Sifarish Aur Khas Duaon Ke Zarie Tabdeel Kiya Ja Sakta Hai.